Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
jamhuriyat-navaaz bashar-dost amn-khvaah
khud ko jo khud diye the vo alqaab kyaa hue
جمہوریت نواز بشر دوست امن خواہ
خود کو جو خود دیے تھے وہ القاب کیا ہوئے
जम्हूरियत-नवाज़ बशर-दोस्त अम्न-ख़्वाह
ख़ुद को जो ख़ुद दिए थे वो अलक़ाब क्या हुए

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kis tarah aae hain is pahli mulaaqaat talak
aur mukammal hai judaa hone ki tayyaari bhi
le meri khabar chashm mire yaar ki kyun-kar
bimaar ayaadat kare bimaar ki kyun-kar
havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
aataa nahin vo yaar-e-sitamgar to kyaa huaa
koi gham to us kaa dil se hamaare judaa nahin
yaar se ab ke gar milun 'taabaan'
to phir us se judaa na huun 'taabaan'