Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
ہم امن چاہتے ہیں مگر ظلم کے خلاف
گر جنگ لازمی ہے تو پھر جنگ ہی سہی
हम अम्न चाहते हैं मगर ज़ुल्म के ख़िलाफ़
गर जंग लाज़मी है तो फिर जंग ही सही

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
har-chand miri quvvat-e-guftaar hai mahbus
khaamosh magar tab-e-khud-aaraa nahin hoti
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
milnaa na milnaa ye to muqaddar ki baat hai
tum khush raho raho mire pyaare jahaan kahin
main hi tum ko phuTi aankh nahin bhaati
tum ne sab se pyaar ke pech laDaae hain
raas aaegi mohabbat us ko
jis se hote nahin vaade puure
pyaar apne pe jo aataa hai to kyaa karte hain
aaina dekh ke munh chuum liyaa karte hain