Shayari
qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
vaqt ruk ruk ke jinhein dekhtaa rahtaa hai 'salim'
ye kabhi vaqt ki raftaar huaa karte the
وقت رک رک کے جنہیں دیکھتا رہتا ہے سلیمؔ
یہ کبھی وقت کی رفتار ہوا کرتے تھے
वक़्त रुक रुक के जिन्हें देखता रहता है 'सलीम'
ये कभी वक़्त की रफ़्तार हुआ करते थे

qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
main kisi ke dast-e-talab mein huun to kisi ke harf-e-duaa mein huun
main nasib huun kisi aur kaa mujhe maangtaa koi aur hai
saae gali mein jaagte rahte hain raat bhar
tanhaaiyon ki oT se jhaankaa na kar mujhe
ham ne to khud se intiqaam liyaa
tum ne kyaa soch kar mohabbat ki
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the