Shayari
saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
ik daastaan ab bhi sunaate hain farsh o baam
vo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
اک داستان اب بھی سناتے ہیں فرش و بام
وہ کون تھی جو رقص کے عالم میں مر گئی
इक दास्तान अब भी सुनाते हैं फ़र्श ओ बाम
वो कौन थी जो रक़्स के आलम में मर गई

saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
shahzaadi tujhe kaun bataae tere charaag-kade tak
kitni mehraabein paDti hain kitne dar aate hain
kyuun girafta-dil nazar aati hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujud hain
jise anjaam tum samajhti ho
ibtidaa hai kisi kahaani ki
siyaahi pherti jaati hain raatein bahr o bar pe
inhi taarikiyon se mujh ko bhi hissa milegaa
teri aashufta-mizaaji ai dil
kyaa khabar kaun nagar le jaae