Shayari
yuun ehtimaam-e-radd-e-sahar kar diyaa gayaa
har raushni ko shahr-badar kar diyaa gayaa
samundaron ko sikhaataa hai kaun tarz-e-khiraam
zamin ki tah mein khazaane kahaan se aate hain
سمندروں کو سکھاتا ہے کون طرز خرام
زمیں کی تہہ میں خزانے کہاں سے آتے ہیں
समुंदरों को सिखाता है कौन तर्ज़-ए-ख़िराम
ज़मीं की तह में ख़ज़ाने कहाँ से आते हैं

yuun ehtimaam-e-radd-e-sahar kar diyaa gayaa
har raushni ko shahr-badar kar diyaa gayaa
kab ban-baas kaTe is shahar ke logon kaa
qufl khulein kab jaane band makaanon ke
sahar ko saath uDaa le gai sabaa jaise
ye kis ne kar diye raste dhuaan dhuaan mere
lahu mein phuul khilaane kahaan se aate hain
nae khayaal na jaane kahaan se aate hain
shaayad ab khatm huaa chaahtaa hai ahd-e-sukut
harf-e-eajaaz ki taasir se lab jaagte hain