Shayari
hai ayaan ru-e-yaar aankhon mein
chhaai hai kyaa bahaar aankhon mein
laa-makaan hai vaaste un ki maqaam-e-bud-o-baash
go ba-zaahir kahne ko kalkatta aur lahore hai
لا مکاں ہے واسطے ان کی مقام بود و باش
گو بظاہر کہنے کو کلکتہ اور لاہور ہے
ला-मकाँ है वास्ते उन की मक़ाम-ए-बूद-ओ-बाश
गो ब-ज़ाहिर कहने को कलकत्ता और लाहौर है

hai ayaan ru-e-yaar aankhon mein
chhaai hai kyaa bahaar aankhon mein
kaafir-e-ishq huaa jab se main is dahr mein huun
hai mire kufr se ye diin aur imaan naazaan
aaina le ke dekh zaraa apne husn ko
aaegi ye bahaar-e-gulistaan khizaan mein yaad
islaam aur kufr hamaaraa hi naam hai
kaaba kunisht donon mein apnaa maqaam hai
dekh kar mujh ko tujhe kyuun hai tahayyur naaseh
mashrab-e-ishq hai ye mazhab-e-islaam nahin
uTThi hai jab se dil mein mire ishq ki tarang
shaadi o gham hain aage mire donon ek rang