Shayari
kaafir-e-ishq huaa jab se main is dahr mein huun
hai mire kufr se ye diin aur imaan naazaan
hai ayaan ru-e-yaar aankhon mein
chhaai hai kyaa bahaar aankhon mein
ہے عیاں روئے یار آنکھوں میں
چھائی ہے کیا بہار آنکھوں میں
है अयाँ रू-ए-यार आँखों में
छाई है क्या बहार आँखों में

kaafir-e-ishq huaa jab se main is dahr mein huun
hai mire kufr se ye diin aur imaan naazaan
aaina le ke dekh zaraa apne husn ko
aaegi ye bahaar-e-gulistaan khizaan mein yaad
laa-makaan hai vaaste un ki maqaam-e-bud-o-baash
go ba-zaahir kahne ko kalkatta aur lahore hai
islaam aur kufr hamaaraa hi naam hai
kaaba kunisht donon mein apnaa maqaam hai
dekh kar mujh ko tujhe kyuun hai tahayyur naaseh
mashrab-e-ishq hai ye mazhab-e-islaam nahin
uTThi hai jab se dil mein mire ishq ki tarang
shaadi o gham hain aage mire donon ek rang
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dam-e-takfin bhi gar yaar aave
to niklein haath baahar ye kafan se
doston kaa kyaa hai vo to yuun bhi mil jaate hain muft
roz ik sach bol kar dushman kamaane chaahiyein
paa-bos-e-yaar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamaare mazaar par
taa hashr rahe ye daagh dil kaa
yaa-rab na bujhe charaagh dil kaa
pyaar ki jot se ghar ghar hai charaaghaan varna
ek bhi shama na raushan ho havaa ke Dar se