Shayari
is parde mein ye husn kaa aalam hai ilaahi
be-parda vo ho jaaein to kyaa jaaniye kyaa ho
S
Sharaf Mujaddidiallaah allaah khususiyyat-e-zaat-e-hasnain
saari ummat ke hain poton se navaase baDh kar
اللہ اللہ خصوصیت ذات حسنین
ساری امت کے ہیں پوتوں سے نواسے بڑھ کر
अल्लाह अल्लाह ख़ुसूसिय्यत-ए-ज़ात-ए-हसनैन
सारी उम्मत के हैं पोतों से नवासे बढ़ कर
is parde mein ye husn kaa aalam hai ilaahi
be-parda vo ho jaaein to kyaa jaaniye kyaa ho
teri aankhein jise chaahein use apnaa kar lein
kaash aisaa hi sikhaa dein koi afsun mujh ko
dil mein mire jigar mein mire aankh mein miri
har jaa hai dost aur nahin milti hai jaa-e-dost
tamaam chaaragaron se to mil chukaa hai javaab
tumhein bhi dard-e-mohabbat sunaae dete hain
paarsaa ban ke su-e-mai-khaana
sar jhukaae hue ham jaate hain
ushshaaq ke aage na laDaa ghairon se aankhein
Dar hai ki na ho jaae laDaai tire dar par