Shayari
is parde mein ye husn kaa aalam hai ilaahi
be-parda vo ho jaaein to kyaa jaaniye kyaa ho
S
Sharaf Mujaddiditeri aankhein jise chaahein use apnaa kar lein
kaash aisaa hi sikhaa dein koi afsun mujh ko
تیری آنکھیں جسے چاہیں اسے اپنا کر لیں
کاش ایسا ہی سکھا دیں کوئی افسوں مجھ کو
तेरी आँखें जिसे चाहें उसे अपना कर लें
काश ऐसा ही सिखा दें कोई अफ़्सूँ मुझ को
is parde mein ye husn kaa aalam hai ilaahi
be-parda vo ho jaaein to kyaa jaaniye kyaa ho
dil mein mire jigar mein mire aankh mein miri
har jaa hai dost aur nahin milti hai jaa-e-dost
allaah allaah khususiyyat-e-zaat-e-hasnain
saari ummat ke hain poton se navaase baDh kar
tamaam chaaragaron se to mil chukaa hai javaab
tumhein bhi dard-e-mohabbat sunaae dete hain
paarsaa ban ke su-e-mai-khaana
sar jhukaae hue ham jaate hain
ushshaaq ke aage na laDaa ghairon se aankhein
Dar hai ki na ho jaae laDaai tire dar par