Shayari
un ki nigaah-e-naaz ki gardish ke saath saath
mahsus ye huaa ki zamaana badal gayaa
hudud-e-jism se aage baDhe to ye dekhaa
ki tishnagi thi barahna tiri adaaon tak
حدود جسم سے آگے بڑھے تو یہ دیکھا
کہ تشنگی تھی برہنہ تری اداؤں تک
हदूद-ए-जिस्म से आगे बढ़े तो ये देखा
कि तिश्नगी थी बरहना तिरी अदाओं तक

un ki nigaah-e-naaz ki gardish ke saath saath
mahsus ye huaa ki zamaana badal gayaa
us ki hansi tum kyaa samjho
vo jo pahron royaa hai
ai inqalaab-e-nau tiri raftaar dekh kar
khud ham bhi sochte hain ki ab tak kahaan rahe
sharik-e-dard nahin jab koi to ai 'shaukat'
khud apni zaat ki bechaargi ghanimat hai
apne paraae thak gae kah kar har koshish bekaar rahi
vaqt ki baat samajh mein aai vaqt hi ke samjhaane se
ye kaisi be-qaraari sunne vaalon ke dilon mein hai
varaq dohraa rahaa hai kyaa koi meri kahaani kaa