Sher
'shaukat' vo aaj aap ko pahchan to ga.e
apni nigah men jo kabhi asman rahe

Shaukat Pardesi
'shaukat' vo aaj aap ko pahchan to ga.e
'शौकत' वो आज आप को पहचान तो गए
mauj-e-tufan se nikal kar bhi salamat na rahe
मौज-ए-तूफ़ाँ से निकल कर भी सलामत न रहे
ahd-e-aghaz-e-tamanna bhi mujhe yaad nahin
अहद-ए-आग़ाज़-ए-तमन्ना भी मुझे याद नहीं
raat ik nadar ka ghar jal gaya tha aur bas
रात इक नादार का घर जल गया था और बस
un ki nigah-e-naz ki gardish ke saath saath
उन की निगाह-ए-नाज़ की गर्दिश के साथ साथ
jab maslahat-e-vaqt se gardan ko jhuka kar
जब मस्लहत-ए-वक़्त से गर्दन को झुका कर
'shaukat' vo aaj aap ko pahchan to ga.e
apni nigah men jo kabhi asman rahe
mauj-e-tufan se nikal kar bhi salamat na rahe
nazr-e-sahil hue dariya ke shanavar kitne
ahd-e-aghaz-e-tamanna bhi mujhe yaad nahin
mahv-e-hairat huun ki itna bhi mujhe yaad nahin
raat ik nadar ka ghar jal gaya tha aur bas
log to be-vaj.h sannaTe se ghabrane lage
un ki nigah-e-naz ki gardish ke saath saath
mahsus ye hua ki zamana badal gaya
jab maslahat-e-vaqt se gardan ko jhuka kar
vo baat kare hai to koi tiir lage hai
ye kaisi be-qaraari sunne vaalon ke dilon mein hai
varaq dohraa rahaa hai kyaa koi meri kahaani kaa
un ki nigaah-e-naaz ki gardish ke saath saath
mahsus ye huaa ki zamaana badal gayaa
us ki hansi tum kyaa samjho
vo jo pahron royaa hai
ai inqalaab-e-nau tiri raftaar dekh kar
khud ham bhi sochte hain ki ab tak kahaan rahe
sharik-e-dard nahin jab koi to ai 'shaukat'
khud apni zaat ki bechaargi ghanimat hai
hudud-e-jism se aage baDhe to ye dekhaa
ki tishnagi thi barahna tiri adaaon tak