Shayari
muddatein ho gaiin hisaab kiye
kyaa pataa kitne rah gae hain ham
jise dekho ghazal pahne hue hai
bahut sastaa ye zevar gayaa hai
جسے دیکھو غزل پہنے ہوئے ہے
بہت سستا یہ زیور گیا ہے
जिसे देखो ग़ज़ल पहने हुए है
बहुत सस्ता ये ज़ेवर गया है

muddatein ho gaiin hisaab kiye
kyaa pataa kitne rah gae hain ham
iraada to nahin hai khud-kushi kaa
magar main zindagi se khush nahin huun
dekhnaa chaahtaa huun gum ho kar
kyaa koi DhunD ke laataa hai mujhe
asar hai ye hamaari dastakon kaa
jahaan divaar thi dar ho gayaa hai
kaun tahlil huaa hai mujh mein
muntashir kyuun hain anaasir mere
mujh ko aksar udaas karti hai
ek tasvir muskuraati hui