"jis baat ka matlab khushbu hai har gaanv ke kachche raste par us baat ka matlab badlega jab pakki saDak aa ja.egi"

Anjum Barabankvi
Anjum Barabankvi
Sherशेर
See all 17 →jis baat ka matlab khushbu hai har gaanv ke kachche raste par
जिस बात का मतलब ख़ुश्बू है हर गाँव के कच्चे रस्ते पर
mash.hur bhi hain badnam bhi hain khushiyon ke na.e paigham bhi hain
मशहूर भी हैं बदनाम भी हैं ख़ुशियों के नए पैग़ाम भी हैं
jo saare din ki thakan oDh kar main sota huun
जो सारे दिन की थकन ओढ़ कर मैं सोता हूँ
ai asman harf ko phir e.atibar de
ऐ आसमान हर्फ़ को फिर ए'तिबार दे
main ne suraj ki tarah khud ko banaya jis din
मैं ने सूरज की तरह ख़ुद को बनाया जिस दिन
me.araj-e-aqidat hai ki ta.aviz ki surat
मेराज-ए-अक़ीदत है कि ता'वीज़ की सूरत
Popular Sher & Shayari
34 total"mash.hur bhi hain badnam bhi hain khushiyon ke na.e paigham bhi hain kuchh gham ke baDe in.aam bhi hain paDhiye to kahani kaam ki hai"
"jo saare din ki thakan oDh kar main sota huun to saari raat mira ghar safar men rahta hai"
"ai asman harf ko phir e.atibar de varna haqiqaton ko kahani likhenge log"
"main ne suraj ki tarah khud ko banaya jis din dekhne a.enge ye maghrib-o-mashriq mujh ko"
"me.araj-e-aqidat hai ki ta.aviz ki surat baazu pe koi khak-e-vatan bandhe hue hai"
ghair to aansu pochheinge
dhokaa deinge apne log
ye baadshaah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikaaltaa hai
mujhe sone ki qimat mat bataao
main miTTi huun miri azmat bahut hai
jo doston ki mohabbat se ji nahin bhartaa
to aastin mein do-chaar saanp paal ke rakh
jis baat kaa matlab khushbu hai har gaanv ke kachche raste par
us baat kaa matlab badlegaa jab pakki saDak aa jaaegi
zaraa mahfuz raston se guzarnaa
tumhaari shahr mein shohrat bahut hai
Ghazalग़ज़ल
har ek lafz mein siine kaa nuur Dhaal ke rakh
हर एक लफ़्ज़ में सीने का नूर ढाल के रख
dilon se khauf ke aaseb-o-jin nikaaltaa hai
दिलों से ख़ौफ़ के आसेब-ओ-जिन निकालता है
khayaal jaan se baDh kar safar mein rahtaa hai
ख़याल जान से बढ़ कर सफ़र में रहता है
zanjir to pairon se thakan baandhe hue hai
ज़ंजीर तो पैरों से थकन बाँधे हुए है
ham sab ko bataate rahte hain ye baat puraani kaam ki hai
हम सब को बताते रहते हैं ये बात पुरानी काम की है
vo jis ke naam mein lazzat bahut hai
वो जिस के नाम में लज़्ज़त बहुत है





