Shayari
ghair to aansu pochheinge
dhokaa deinge apne log
ye baadshaah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikaaltaa hai
یہ بادشاہ نہیں ہے فقیر ہے سورج
ہمیشہ رات کی جھولی سے دن نکالتا ہے
ये बादशाह नहीं है फ़क़ीर है सूरज
हमेशा रात की झोली से दिन निकालता है

ghair to aansu pochheinge
dhokaa deinge apne log
mujhe sone ki qimat mat bataao
main miTTi huun miri azmat bahut hai
jo doston ki mohabbat se ji nahin bhartaa
to aastin mein do-chaar saanp paal ke rakh
jis baat kaa matlab khushbu hai har gaanv ke kachche raste par
us baat kaa matlab badlegaa jab pakki saDak aa jaaegi
mashhur bhi hain badnaam bhi hain khushiyon ke nae paighaam bhi hain
kuchh gham ke baDe inaam bhi hain paDhiye to kahaani kaam ki hai
zaraa mahfuz raston se guzarnaa
tumhaari shahr mein shohrat bahut hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskuraataa huun magar dil dard se labrez hai