use kisi se mohabbat na thi magar us ne
gulab toD ke duniya ko shak men Daal diya

Dilawar Ali Aazar
Dilawar Ali Aazar
Sherशेर
See all 13 →use kisi se mohabbat na thi magar us ne
उसे किसी से मोहब्बत न थी मगर उस ने
us se kuchh khaas ta'alluq bhi nahin hai apna
उस से कुछ ख़ास तअल्लुक़ भी नहीं है अपना
ab mujh ko ehtimam se kiije supurd-e-khak
अब मुझ को एहतिमाम से कीजे सुपुर्द-ए-ख़ाक
main jab maidan khali kar ke aaya
मैं जब मैदान ख़ाली कर के आया
chand taare to mire bas men nahin hain 'azar'
चाँद तारे तो मिरे बस में नहीं हैं 'आज़र'
us se milna to use eid-mubarak kahna
उस से मिलना तो उसे ईद-मुबारक कहना
Popular Sher & Shayari
26 totalus se kuchh khaas ta'alluq bhi nahin hai apna
main pareshan hua jis ki pareshani par
ab mujh ko ehtimam se kiije supurd-e-khak
ukta chuka huun jism ka malba uTha ke main
main jab maidan khali kar ke aaya
mira dushman akela rah gaya tha
chand taare to mire bas men nahin hain 'azar'
phuul laaya huun mira haath kahan tak jaata
us se milna to use eid-mubarak kahna
ye bhi kahna ki miri eid mubarak kar de
sukhan-saraai koi sahl kaam thoDi hai
ye log kis liye janjaal mein paDe hue hain
ik din jo yunhi parda-e-aflaak uThaayaa
barpaa thaa tamaashaa koi tanhaai se aage
badan ko chhoD hi jaanaa hai ruuh ne 'aazar'
har ik charaagh se aakhir dhuaan nikaltaa hai
vahi sitaara-numaa ik charaagh hai 'aazar'
miraa khayaal thaa niklegaa taaq se kuchh aur
use kisi se mohabbat na thi magar us ne
gulaab toD ke duniyaa ko shak mein Daal diyaa
ek lamhe ke liye tanhaa nahin hone diyaa
khud ko apne saath rakkhaa jis jahaan ki sair ki
Ghazalग़ज़ल
lafz kaa zaaiqa kahaan mujh ko
लफ़्ज़ का ज़ाइक़ा कहाँ मुझ को
'ajab sukhan hai asar kaa pataa nahin chaltaa
'अजब सुख़न है असर का पता नहीं चलता
manzar se udhar khvaab ki paspaai se aage
मंज़र से उधर ख़्वाब की पस्पाई से आगे
main TuuT jaataa huun jab hijr mujh ko toDtaa hai
मैं टूट जाता हूँ जब हिज्र मुझ को तोड़ता है
rokaa hai mujh ko dil ne ki rasta bhaTak na jaaun
रोका है मुझ को दिल ने कि रस्ता भटक न जाऊँ
raaegaan jaate hue din ki pareshaani mein
राएगाँ जाते हुए दिन की परेशानी में





