Shayari
ek lamhe ke liye tanhaa nahin hone diyaa
khud ko apne saath rakkhaa jis jahaan ki sair ki
ik din jo yunhi parda-e-aflaak uThaayaa
barpaa thaa tamaashaa koi tanhaai se aage
اک دن جو یونہی پردۂ افلاک اٹھایا
برپا تھا تماشا کوئی تنہائی سے آگے
इक दिन जो यूँही पर्दा-ए-अफ़्लाक उठाया
बरपा था तमाशा कोई तन्हाई से आगे

ek lamhe ke liye tanhaa nahin hone diyaa
khud ko apne saath rakkhaa jis jahaan ki sair ki
badan ko chhoD hi jaanaa hai ruuh ne 'aazar'
har ik charaagh se aakhir dhuaan nikaltaa hai
sukhan-saraai koi sahl kaam thoDi hai
ye log kis liye janjaal mein paDe hue hain
vahi sitaara-numaa ik charaagh hai 'aazar'
miraa khayaal thaa niklegaa taaq se kuchh aur
use kisi se mohabbat na thi magar us ne
gulaab toD ke duniyaa ko shak mein Daal diyaa
us se milnaa to use eid-mubaarak kahnaa
ye bhi kahnaa ki miri eid mubaarak kar de
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
qaamat hi likhaa ham ne sadaa jaa-e-qayaamat
qaamat ne bhulaayaa tire imlaa-e-qayaamat
rah-e-hayaat mein shaayad hi vo maqaam aae
ki naghma-haa-e-junun par sukut taari ho