dil dukhana mira nahin maqsad
haq-bayani miri nahin jaati

Mukhtar Tilhari
Mukhtar Tilhari
Sherशेर
See all 16 →dil dukhana mira nahin maqsad
दिल दुखाना मिरा नहीं मक़्सद
shiddat-e-pyas ke ehsas ko baDhne diije
शिद्दत-ए-प्यास के एहसास को बढ़ने दीजे
ik to vaise hi udasi ki ghaTa chha.i hai
इक तो वैसे ही उदासी की घटा छाई है
aap mazlum ke ashkon se na khilvaD karen
आप मज़लूम के अश्कों से न खिलवाड़ करें
raushni ke liye 'mukhtar' jala.e the charagh
रौशनी के लिए 'मुख़्तार' जलाए थे चराग़
raha na kaam us ki justuju men
रहा न काम उस की जुस्तुजू में
Popular Sher & Shayari
32 totalshiddat-e-pyas ke ehsas ko baDhne diije
eDiyon se kabhi chashme bhi ubal sakte hain
ik to vaise hi udasi ki ghaTa chha.i hai
aur chheDoge to aansu bhi nikal sakte hain
aap mazlum ke ashkon se na khilvaD karen
ye vo dariya hain jo shahron ko nigal sakte hain
raushni ke liye 'mukhtar' jala.e the charagh
kya khabar thi ki mire haath bhi jal sakte hain
raha na kaam us ki justuju men
idhar main khud se bhi gum ho gaya huun
miri hansi ko sar-e-bazm sah liyaa us ne
phir us ke baa'd akele mein intiqaam liyaa
jis vaqt huaa karti hai bechain tabiat
us vaqt bayaabaan se lagte hain chaman bhi
hamaari samt se be-raghbati na kar varna
tire baghair qaraar aa gayaa to kyaa hogaa
dil dukhaanaa miraa nahin maqsad
haq-bayaani miri nahin jaati
vo aaein ham se dalil maangein
jo kah rahe hain khudaa nahin hai
miTaanaa chaahun to mumkin kahaan miTaa bhi sakun
vo ek baal jo aaina-e-khayaal mein hai
Ghazalग़ज़ल
mohabbat kaa diyaa jal kar bujhaa aise nahin hotaa
मोहब्बत का दिया जल कर बुझा ऐसे नहीं होता
soch liije kaf-e-afsos bhi mal sakte hain
सोच लीजे कफ़-ए-अफ़्सोस भी मल सकते हैं
us ki taarif karnaa mushkil hai
उस की तारीफ़ करना मुश्किल है
ham ko tanhaai hi tanhaai nazar aati hai
हम को तन्हाई ही तन्हाई नज़र आती है
dil sogvaar dida-e-tar kaun de gayaa
दिल सोगवार दीदा-ए-तर कौन दे गया
baDhaa kar aankh ke tinke ko bhi shahtir karte hain
बढ़ा कर आँख के तिनके को भी शहतीर करते हैं





