Shayari
ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh luun
aql se kah do ki mujh ko aaj tanhaa chhoD de

Saleem Siddiqi
Saleem Siddiqi
ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh luun
aql se kah do ki mujh ko aaj tanhaa chhoD de
na to ranj-o-gham se hi rabt hai na hi aashnaa-e-khushi huun main
miri zindagi bhi ajiib hai ise manzilon kaa pataa nahin
mulk ki galiyaan lahu piine ki aadi ho na jaaein
ye taassub zahr kaa zehnon mein bharnaa chhoD de
dushman se aise kaun bhalaa jiit paaegaa
jo dosti ke bhes mein chhup kar daghaa kare
galiyon galiyon shahron shahron kis ne aag lagaai hai
bughz-o-nafrat kaa duniyaa ko kis ne ye maahaul diyaa