Sher
bana.i ek hi donon ki surat kahish-e-gham ne
guman hota hai tar-e-pairahan par jism-e-laghar ka
T
Taufeeq HyderabadiTaufeeq Hyderabadi
bana.i ek hi donon ki surat kahish-e-gham ne
guman hota hai tar-e-pairahan par jism-e-laghar ka
kiya hai aaj va.ada kis ne aane ka khuda jaane
nazar aata hai chashm-e-shauq darvaza mire ghar ka
sahar ke saath hoga chaak mera daman-e-hasti
ba-rang-e-sham.a bazm-e-dahr men mehman huun shab bhar ka
banaai ek hi donon ki surat kaahish-e-gham ne
gumaan hotaa hai taar-e-pairahan par jism-e-laaghar kaa
kiyaa hai aaj vaada kis ne aane kaa khudaa jaane
nazar aataa hai chashm-e-shauq darvaaza mire ghar kaa
sahar ke saath hogaa chaak meraa daaman-e-hasti
ba-rang-e-shama bazm-e-dahr mein mehmaan huun shab bhar kaa