Shayari
kiyaa hai aaj vaada kis ne aane kaa khudaa jaane
nazar aataa hai chashm-e-shauq darvaaza mire ghar kaa
T
Taufeeq Hyderabadibanaai ek hi donon ki surat kaahish-e-gham ne
gumaan hotaa hai taar-e-pairahan par jism-e-laaghar kaa
بنائی ایک ہی دونوں کی صورت کاہش غم نے
گماں ہوتا ہے تار پیرہن پر جسم لاغر کا
बनाई एक ही दोनों की सूरत काहिश-ए-ग़म ने
गुमाँ होता है तार-ए-पैरहन पर जिस्म-ए-लाग़र का
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diyaa
jo sab ko chhoD ke tanhaa khaDaa hai mere saath
aavaazon kaa bojh uThaae sadiyon se
banjaaron ki tarah guzaara kartaa huun
gham se nisbat hai jinhein zabt-e-alam karte hain
ashk ko zinat-e-daamaan nahin hone dete