Shayari
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun

Zubair Rizvi
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
surkhiyaan akhbaar ki galiyon mein ghul karti rahin
log apne band kamron mein paDe sote rahe
auraton ki aankhon par kaale kaale chashme the sab ki sab barahana thiin
zaahidon ne jab dekhaa saahilon kaa ye manzar likh diyaa gunaahon mein
sukhan ke kuchh to guhar main bhi nazr kartaa chalun
ajab nahin ki karein yaad maah o saal mujhe
zindagi jin ki rifaaqat pe bahut naazaan thi
un se bichhDi to koi aankh mein aansu bhi nahin
ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte
na itne paas mire aa ki tu puraanaa lage
dil ko ranjida karo aankh ko pur-nam kar lo
दिल को रंजीदा करो आँख को पुर-नम कर लो
chhoD kar ghar ki fazaa raa'naaiyaan pachhtaa gaiin
छोड़ कर घर की फ़ज़ा रा'नाइयाँ पछता गईं
mujhe tum shohraton ke darmiyaan gumnaam likh denaa
मुझे तुम शोहरतों के दरमियाँ गुमनाम लिख देना
qaside le ke saare shaukat-e-darbaar tak aae
क़सीदे ले के सारे शौकत-ए-दरबार तक आए
main ne kab barq-e-tapaan mauj-e-balaa maangi thi
मैं ने कब बर्क़-ए-तपाँ मौज-ए-बला माँगी थी
tilism-e-harf-o-hikaayat use bhi le Duubaa
तिलिस्म-ए-हर्फ़-ओ-हिकायत उसे भी ले डूबा