SHAWORDS

aa fasl-e-gul hai gharq-e-tamannaa tire liye — Josh Malihabadi

"aa fasl-e-gul hai gharq-e-tamannaa tire liye Duubaa huaa hai rang mein sahraa tire liye saahil pe sarv-e-naaz ko de zahmat-e-khiraam bal khaa rahaa hai khaak pe dariyaa tire liye ifaa-e-ahd kar ki hai muddat se be-qaraar ruh-e-vafaa-e-vaada-e-fardaa tire liye shaanon pe ab to kaakul-e-shab-rang khol de bikhri hui hai zulf-e-tamannaa tire liye uTh chashm-e-jaavedaana-e-saaghar-farosh uTh machli hui hai larzish-e-sahbaa tire liye ai aaftaab-e-jalva-e-jaanaan buland ho khoyaa huaa hai matla-e-duniyaa tire liye mauj-e-shamim-e-sumbul-o-raihaan ke darmiyaan vaa hai musaahibat kaa darichaa tire liye aa aur daad de ki baiin chahsm-e-haq-nigar khaae hue huun ziist kaa dhokaa tire liye sabze kaa farsh abr kaa khema gulon kaa itr gulshan mein ehtimaam hai kyaa kyaa tire liye tughyaan-e-gul shabaab pe bulbul kharosh mein ik hashr saa hai baagh mein barpaa tire liye 'josh' aur nang-e-khidmat-e-sultaan o paas-e-hosh ye bhi kiye hue hai gavaaraa tire liye"
Urdu

آ فصل گل ہے غرق تمنا ترے لیے ڈوبا ہوا ہے رنگ میں صحرا ترے لیے ساحل پہ سرو ناز کو دے زحمت خرام بل کھا رہا ہے خاک پہ دریا ترے لیے ایفائے عہد کر کہ ہے مدت سے بیقرار روح وفائے وعدۂ فردا ترے لیے شانوں پہ اب تو کاکل شب رنگ کھول دے بکھری ہوئی ہے زلف تمنا ترے لیے اٹھ چشم جاودانۂ ساغر فروش اٹھ مچلی ہوئی ہے لرزش صہبا ترے لیے اے آفتاب جلوۂ جاناں بلند ہو کھویا ہوا ہے مطلع دنیا ترے لیے موج شمیم سنبل و ریحاں کے درمیاں وا ہے مصاحبت کا دریچا ترے لیے آ اور داد دے کہ بہ ایں چشم حق نگر کھائے ہوئے ہوں زیست کا دھوکا ترے لیے سبزے کا فرش ابر کا خیمہ گلوں کا عطر گلشن میں اہتمام ہے کیا کیا ترے لیے طغیان گل شباب پہ بلبل خروش میں اک حشر سا ہے باغ میں برپا ترے لیے جوشؔ اور ننگ خدمت سلطان و پاس ہوش یہ بھی کیے ہوئے ہے گوارا ترے لیے

Hindi

आ फ़स्ल-ए-गुल है ग़र्क़-ए-तमन्ना तिरे लिए डूबा हुआ है रंग में सहरा तिरे लिए साहिल पे सर्व-ए-नाज़ को दे ज़हमत-ए-ख़िराम बल खा रहा है ख़ाक पे दरिया तिरे लिए ईफ़ा-ए-अहद कर कि है मुद्दत से बे-क़रार रूह-ए-वफ़ा-ए-वादा-ए-फ़र्दा तिरे लिए शानों पे अब तो काकुल-ए-शब-रंग खोल दे बिखरी हुई है ज़ुल्फ़-ए-तमन्ना तिरे लिए उठ चश्म-ए-जावेदाना-ए-साग़र-फ़रोश उठ मचली हुई है लर्ज़िश-ए-सहबा तिरे लिए ऐ आफ़्ताब-ए-जल्वा-ए-जानाँ बुलंद हो खोया हुआ है मतला-ए-दुनिया तिरे लिए मौज-ए-शमीम-ए-सुम्बुल-ओ-रैहाँ के दरमियाँ वा है मुसाहिबत का दरीचा तिरे लिए आ और दाद दे कि ब-ईं चश्म-ए-हक़-निगर खाए हुए हूँ ज़ीस्त का धोका तिरे लिए सब्ज़े का फ़र्श अब्र का ख़ेमा गुलों का इत्र गुलशन में एहतिमाम है क्या क्या तिरे लिए तुग़्यान-ए-गुल शबाब पे बुलबुल ख़रोश में इक हश्र सा है बाग़ में बरपा तिरे लिए 'जोश' और नंग-ए-ख़िदमत-ए-सुल्तान ओ पास-ए-होश ये भी किए हुए है गवारा तिरे लिए

aa fasl-e-gul hai ġharq-e-tamannā tire liye
Josh Malihabadi
Josh Malihabadi
Josh Malihabadi
poet88 quotes

More by Josh Malihabadi

View all →
Quote
"gudaaz-e-dil se baatin kaa tajalli-zaar ho jaanaa mohabbat asl mein hai ruuh kaa bedaar ho jaanaa naved-e-aish se ai dil zaraa hushyaar ho jaanaa kisi taaza musibat ke liye tayyaar ho jaanaa vo un ke dil mein shauq-e-khud-numaai kaa khayaal aanaa vo har shai kaa tabassum ke liye tayyaar ho jaanaa mizaaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayaamat hai hamaaraa aur vafaa ke naam se be-zaar ho jaanaa sahar kaa is tarah angDaai lenaa dil-farebi se udhar shaair ke mahsusaat kaa bedaar ho jaanaa tavassul se tire dil mein bharungaa quvvatein barqi zaraa meri taraf bhi ai nigaah-e-yaar ho jaanaa vo aaraaish mein sab quvvat kisi kaa sarf kar denaa tahammul mein vo har koshish miri bekaar ho jaanaa maaaz-allaah ab ye rang hai duniyaa ki mahfil kaa khudaa kaa naam lenaa aur zalil o khvaar ho jaanaa ragon se khuun saaraa zahr ban kar phuuT niklegaa zaraa ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyaar ho jaanaa"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"dil-e-aazaada-rau mein vo tamannaa thi bayaabaan ki qadam rakhte hi shaq hone lagi divaar zindaan ki khudaa ki rahmatein ai mutrib-e-rangin-navaa tujh par ki har kaanTe mein tu ne ruuh dauDaa di gulistaan ki ye saabit kar diyaa tujh ko banaa kar dast-e-qudrat ne ki ho sakti hain itni khubiyaan surat mein insaan ki nasim-e-subh ThanDi saans bharti hai mazaaron par udaasi munh-andhere dekhiye gor-e-gharibaan ki ye aalam kyaa hai ik majmua hai naachiz zarron kaa ye duniyaa kyaa hai ik tarkib ajzaa-e-pareshaan ki havaaon ke vo jhonke vo khule maidaan ki sardi vo lahrein chaand se rukhsaar par zulf-e-pareshaan ki hamaari zindagi kyaa silsila ik dil dhaDakne kaa hamaari maut kyaa jumbish hai ik jazbaat-e-pinhaan ki banaa deingi yaqin hai 'josh' mard-e-baa-khudaa ik din tapish-andoziyaan siine mein barq-e-soz-e-pinhaan ki"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye roz ik surat nai hai ghaur karne ke liye jab koi bantaa hai laakhon hastiyon ko meT kar subh taaron ko dabaati hai ubharne ke liye haamil-e-asraar-e-fitrat huun gadaa bhi huun to kyaa baat ye kaafi hai mujh ko fakhr karne ke liye ruuh ko chamkaa khudi ko toD kar ziine banaa do ye tadbirein hain duniyaa mein ubharne ke liye ghaur se dekhaa nizaam-e-dahr to saabit huaa aadmi paidaa huaa hai kaam karne ke liye subh uTh kar aansuon se khuun ke rotaa huun main dil ke naqshe mein vafaa kaa rang bharne ke liye gauhar-e-maqsud khud miltaa hai himmat shart hai muztarib rahtaa hai har moti ubharne ke liye aankh sharmaai hui hai baal peshaani pe hain aaina-khaane mein jaate hain sanvarne ke liye kah do duniyaa ke havaadis se na chheDein is tarah 'josh' ham tayyaar hi baiThe hain marne ke liye"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"is qadar Duubaa huaa dil dard ki lazzat mein hai teraa 'aashiq anjuman hi kyuun na ho khalvat mein hai jazb kar lenaa tajalli ruuh ki 'aadat mein hai husn ko mahfuz rakhnaa 'ishq ki fitrat mein hai mahv ho jaataa huun aksar main ki dushman huun tiraa dilkashi kis darja ai duniyaa tiri surat mein hai uf nikal jaati hai khatre hi kaa mauqa kyuun na ho husn se betaab ho jaanaa miri fitrat mein hai us kaa ik adnaa karishma ruuh vo itnaa 'ajib 'aql istiajaab mein hai falsafa hairat mein hai nuur kaa taDkaa hai dhimi ho chali hai chaandni hil rahaa hai dil miraa masruf vo zinat mein hai"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye phir nigaah-e-ghaur se qaanun-e-qudrat dekhiye sair-e-mahtaab-o-kavaakib se tabassum taa-bake ro rahi hai vo kisi ki sham-e-turbat dekhiye aap ik jalva saraasar main saraapaa ik nazar apni haajat dekhiye meri zarurat dekhiye apne saamaan-e-taayyush se agar fursat mile bekason kaa bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye muskuraa kar is tarah aayaa na kiije saamne kis qadar kamzor huun main meri surat dekhiye aap ko laayaa huun viraanon mein ibrat ke liye hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye sirf itne ke liye aankhein hamein bakhshi gaiin dekhiye duniyaa ke manzar aur ba-ibrat dekhiye maut bhi aai to chehre par tabassum hi rahaa zabt par hai kis qadar ham ko bhi qudrat dekhiye ye bhi koi baat hai har vaqt daulat kaa khayaal aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye phuuT niklegaa jabin se ek chashma husn kaa subh uTh kar khanda-e-saamaan-e-qudrat dekhiye rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-maah vaah kyaa ashaar hain divaan-e-fitrat dekhiye is se baDh kar aur ibrat kaa sabaq mumkin nahin jo nashaat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye thi khataa un ki magar jab aa gae vo saamne jhuk gaiin meri hi aankhein rasm-e-ulfat dekhiye khush-numaa yaa bad-numaa ho dahr ki har chiiz mein 'josh' ki takhil kahti hai ki nudrat dekhiye"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb