"gudaaz-e-dil se baatin kaa tajalli-zaar ho jaanaa mohabbat asl mein hai ruuh kaa bedaar ho jaanaa naved-e-aish se ai dil zaraa hushyaar ho jaanaa kisi taaza musibat ke liye tayyaar ho jaanaa vo un ke dil mein shauq-e-khud-numaai kaa khayaal aanaa vo har shai kaa tabassum ke liye tayyaar ho jaanaa mizaaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayaamat hai hamaaraa aur vafaa ke naam se be-zaar ho jaanaa sahar kaa is tarah angDaai lenaa dil-farebi se udhar shaair ke mahsusaat kaa bedaar ho jaanaa tavassul se tire dil mein bharungaa quvvatein barqi zaraa meri taraf bhi ai nigaah-e-yaar ho jaanaa vo aaraaish mein sab quvvat kisi kaa sarf kar denaa tahammul mein vo har koshish miri bekaar ho jaanaa maaaz-allaah ab ye rang hai duniyaa ki mahfil kaa khudaa kaa naam lenaa aur zalil o khvaar ho jaanaa ragon se khuun saaraa zahr ban kar phuuT niklegaa zaraa ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyaar ho jaanaa"
dil-e-aazaada-rau mein vo tamannaa thi bayaabaan ki — Josh Malihabadi
"dil-e-aazaada-rau mein vo tamannaa thi bayaabaan ki qadam rakhte hi shaq hone lagi divaar zindaan ki khudaa ki rahmatein ai mutrib-e-rangin-navaa tujh par ki har kaanTe mein tu ne ruuh dauDaa di gulistaan ki ye saabit kar diyaa tujh ko banaa kar dast-e-qudrat ne ki ho sakti hain itni khubiyaan surat mein insaan ki nasim-e-subh ThanDi saans bharti hai mazaaron par udaasi munh-andhere dekhiye gor-e-gharibaan ki ye aalam kyaa hai ik majmua hai naachiz zarron kaa ye duniyaa kyaa hai ik tarkib ajzaa-e-pareshaan ki havaaon ke vo jhonke vo khule maidaan ki sardi vo lahrein chaand se rukhsaar par zulf-e-pareshaan ki hamaari zindagi kyaa silsila ik dil dhaDakne kaa hamaari maut kyaa jumbish hai ik jazbaat-e-pinhaan ki banaa deingi yaqin hai 'josh' mard-e-baa-khudaa ik din tapish-andoziyaan siine mein barq-e-soz-e-pinhaan ki"
دل آزادہ رو میں وہ تمنا تھی بیاباں کی قدم رکھتے ہی شق ہونے لگی دیوار زنداں کی خدا کی رحمتیں اے مطرب رنگیں نوا تجھ پر کہ ہر کانٹے میں تو نے روح دوڑا دی گلستاں کی یہ ثابت کر دیا تجھ کو بنا کر دست قدرت نے کہ ہو سکتی ہیں اتنی خوبیاں صورت میں انساں کی نسیم صبح ٹھنڈی سانس بھرتی ہے مزاروں پر اداسی منہ اندھیرے دیکھیے گور غریباں کی یہ عالم کیا ہے اک مجموعہ ہے ناچیز ذروں کا یہ دنیا کیا ہے اک ترکیب اجزائے پریشاں کی ہواؤں کے وہ جھونکے وہ کھلے میدان کی سردی وہ لہریں چاند سے رخسار پر زلف پریشاں کی ہماری زندگی کیا سلسلہ اک دل دھڑکنے کا ہماری موت کیا جنبش ہے اک جذبات پنہاں کی بنا دیں گی یقیں ہے جوشؔ مرد باخدا اک دن تپش اندوزیاں سینے میں برق سوز پنہاں کی
दिल-ए-आज़ादा-रौ में वो तमन्ना थी बयाबाँ की क़दम रखते ही शक़ होने लगी दीवार ज़िंदाँ की ख़ुदा की रहमतें ऐ मुतरिब-ए-रंगीं-नवा तुझ पर कि हर काँटे में तू ने रूह दौड़ा दी गुलिस्ताँ की ये साबित कर दिया तुझ को बना कर दस्त-ए-क़ुदरत ने कि हो सकती हैं इतनी ख़ूबियाँ सूरत में इंसाँ की नसीम-ए-सुब्ह ठंडी साँस भरती है मज़ारों पर उदासी मुँह-अँधेरे देखिए गोर-ए-ग़रीबाँ की ये आलम क्या है इक मजमूआ' है नाचीज़ ज़र्रों का ये दुनिया क्या है इक तरकीब अज्ज़ा-ए-परेशाँ की हवाओं के वो झोंके वो खुले मैदान की सर्दी वो लहरें चाँद से रुख़्सार पर ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ की हमारी ज़िंदगी क्या सिलसिला इक दिल धड़कने का हमारी मौत क्या जुम्बिश है इक जज़्बात-ए-पिन्हाँ की बना देंगी यक़ीं है 'जोश' मर्द-ए-बा-ख़ुदा इक दिन तपिश-अंदोज़ियाँ सीने में बर्क़-ए-सोज़-ए-पिन्हाँ की

More by Josh Malihabadi
View all →"tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye roz ik surat nai hai ghaur karne ke liye jab koi bantaa hai laakhon hastiyon ko meT kar subh taaron ko dabaati hai ubharne ke liye haamil-e-asraar-e-fitrat huun gadaa bhi huun to kyaa baat ye kaafi hai mujh ko fakhr karne ke liye ruuh ko chamkaa khudi ko toD kar ziine banaa do ye tadbirein hain duniyaa mein ubharne ke liye ghaur se dekhaa nizaam-e-dahr to saabit huaa aadmi paidaa huaa hai kaam karne ke liye subh uTh kar aansuon se khuun ke rotaa huun main dil ke naqshe mein vafaa kaa rang bharne ke liye gauhar-e-maqsud khud miltaa hai himmat shart hai muztarib rahtaa hai har moti ubharne ke liye aankh sharmaai hui hai baal peshaani pe hain aaina-khaane mein jaate hain sanvarne ke liye kah do duniyaa ke havaadis se na chheDein is tarah 'josh' ham tayyaar hi baiThe hain marne ke liye"
"is qadar Duubaa huaa dil dard ki lazzat mein hai teraa 'aashiq anjuman hi kyuun na ho khalvat mein hai jazb kar lenaa tajalli ruuh ki 'aadat mein hai husn ko mahfuz rakhnaa 'ishq ki fitrat mein hai mahv ho jaataa huun aksar main ki dushman huun tiraa dilkashi kis darja ai duniyaa tiri surat mein hai uf nikal jaati hai khatre hi kaa mauqa kyuun na ho husn se betaab ho jaanaa miri fitrat mein hai us kaa ik adnaa karishma ruuh vo itnaa 'ajib 'aql istiajaab mein hai falsafa hairat mein hai nuur kaa taDkaa hai dhimi ho chali hai chaandni hil rahaa hai dil miraa masruf vo zinat mein hai"
"meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye phir nigaah-e-ghaur se qaanun-e-qudrat dekhiye sair-e-mahtaab-o-kavaakib se tabassum taa-bake ro rahi hai vo kisi ki sham-e-turbat dekhiye aap ik jalva saraasar main saraapaa ik nazar apni haajat dekhiye meri zarurat dekhiye apne saamaan-e-taayyush se agar fursat mile bekason kaa bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye muskuraa kar is tarah aayaa na kiije saamne kis qadar kamzor huun main meri surat dekhiye aap ko laayaa huun viraanon mein ibrat ke liye hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye sirf itne ke liye aankhein hamein bakhshi gaiin dekhiye duniyaa ke manzar aur ba-ibrat dekhiye maut bhi aai to chehre par tabassum hi rahaa zabt par hai kis qadar ham ko bhi qudrat dekhiye ye bhi koi baat hai har vaqt daulat kaa khayaal aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye phuuT niklegaa jabin se ek chashma husn kaa subh uTh kar khanda-e-saamaan-e-qudrat dekhiye rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-maah vaah kyaa ashaar hain divaan-e-fitrat dekhiye is se baDh kar aur ibrat kaa sabaq mumkin nahin jo nashaat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye thi khataa un ki magar jab aa gae vo saamne jhuk gaiin meri hi aankhein rasm-e-ulfat dekhiye khush-numaa yaa bad-numaa ho dahr ki har chiiz mein 'josh' ki takhil kahti hai ki nudrat dekhiye"
"vo sabr de ki na de jis ne be-qaraar kiyaa bas ab tumhin pe chalo ham ne inhisaar kiyaa tumhaaraa zikr nahin hai tumhaaraa naam nahin kiyaa nasib kaa shikva hazaar baar kiyaa subut hai ye mohabbat ki saada-lauhi kaa jab us ne vaada kiyaa ham ne e'tibaar kiyaa maaal ham ne jo dekhaa sukun o jumbish kaa to kuchh samajh ke taDapnaa hi ikhtiyaar kiyaa mire khudaa ne mire sab gunaah bakhsh diye kisi kaa raat ko yuun main ne intizaar kiyaa"
"ye baat ye tabassum ye naaz ye nigaahein aakhir tumhin bataao kyunkar na tum ko chaahein ab sar uThaa ke main ne shikvon se haat uThaayaa mar jaaungaa sitamgar nichi na kar nigaahein kuchh gul hi se nahin hai ruh-e-numu ko raghbat gardan mein khaar ki bhi Daale hue hai baanhein allaah ri dil-farebi jalvon ke baankpan ki mahfil mein vo jo aae kaj ho gaiin kulaahein ye bazm 'josh' kis ke jalvon ki rahguzar hai har zarre mein hain ghaltaan uThti hui nigaahein"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"