"be-vajh nahin un kaa be-khud ko bulaanaa hai aaina-e-hairat se mahfil ko sajaanaa hai yaar gham-e-hasti kaa hai tazkira laa-haasil majbur kaa jiinaa hi ik baar uThaanaa hai mujh se jo sar-e-mahfil tum aankh churaate ho kyaa raaz-e-mohabbat ko afsaana banaanaa hai haalat ke taghayyur par ho maatam-e-maazi kyuun ik vo bhi zamaana thaa ik ye bhi zamaanaa hai hai gosha-e-tanhaai manzur mujhe 'bekhud' is bazm mein jaanaa to ji aur jalaanaa hai"
'abas hai pesh-e-arbaab-e-sukhan azm-e-sukhan mujh ko — Abbas Ali Khan Bekhud
"'abas hai pesh-e-arbaab-e-sukhan azm-e-sukhan mujh ko vafaa kahne na degi qissa-e-ranj-o-mehan mujh ko qafas mein mil gayaa hai in dinon kuchh lutf hi aisaa ki bhule se nahin aati kabhi yaad-e-chaman mujh ko khizaan ki aafatein phirti hain ab tak meri nazron mein bahaar-e-chand-roza kyaa dikhaataa hai chaman mujh ko but-e-tarraar se jab shikva-e-bedaad kartaa huun sunaataa hai vo zaalim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko vo hans kar dekh lete hain jo kuche se guzartaa huun mubaarakbaad 'bekhud' meraa ye divaana-pan mujh ko"
عبث ہے پیش ارباب سخن عزم سخن مجھ کو وفا کہنے نہ دے گی قصۂ رنج و محن مجھ کو قفس میں مل گیا ہے ان دنوں کچھ لطف ہی ایسا کہ بھولے سے نہیں آتی کبھی یاد چمن مجھ کو خزاں کی آفتیں پھرتی ہیں اب تک میری نظروں میں بہار چند روزہ کیا دکھاتا ہے چمن مجھ کو بت طرار سے جب شکوۂ بیداد کرتا ہوں سناتا ہے وہ ظالم سر گذشت کوہ کن مجھ کو وہ ہنس کر دیکھ لیتے ہیں جو کوچہ سے گزرتا ہوں مبارک باد بیخودؔ میرا یہ دیوانہ پن مجھ کو
'अबस है पेश-ए-अर्बाब-ए-सुख़न अज़्म-ए-सुख़न मुझ को वफ़ा कहने न देगी क़िस्सा-ए-रंज-ओ-मेहन मुझ को क़फ़स में मिल गया है इन दिनों कुछ लुत्फ़ ही ऐसा कि भूले से नहीं आती कभी याद-ए-चमन मुझ को ख़िज़ाँ की आफ़तें फिरती हैं अब तक मेरी नज़रों में बहार-ए-चंद-रोज़ा क्या दिखाता है चमन मुझ को बुत-ए-तर्रार से जब शिकवा-ए-बेदाद करता हूँ सुनाता है वो ज़ालिम सर-गुज़श्त-ए-कोहकन मुझ को वो हँस कर देख लेते हैं जो कूचे से गुज़रता हूँ मुबारकबाद 'बेख़ुद' मेरा ये दीवाना-पन मुझ को

More by Abbas Ali Khan Bekhud
View all →"main to fidaa-e-nargis-e-mastaana ho gayaa paimaana se dil ab miraa mai-khaana ho gayaa har rang mein mujhe hai mae mushk-bu kaa rang jo zarf haath aa gayaa paimaana ho gayaa kuchh makhmasaat-e-dahr the divaangi se kam achchhaa huaa ki ishq mein divaana ho gayaa dil chaahiye gudaaz nahin zor-o-zar se kaam apni misaal ishq mein parvaana ho gayaa hotaa na baagh-e-dil kabhi shaahaan-e-iltifaat achchhaa huaa bahaar mein viraana ho gayaa daanaai zer-e-daam hai ai murgh-e-dil abas maanaa ki daana khaa ke tu ab daanaa ho gayaa 'bekhud' to naa-rasaai zulf-e-butaan na puchh qismat pe meri khanda-zan ab shaana ho gayaa"
"nigaahon ko zabaan karnaa khamoshi ko bayaan karnaa ayaan karnaa bhi raaz-e-dil kabhi to yuun ayaan karnaa havaa-e-sud mein rahnaa na parvaa-e-ziyaan karnaa haqiqat mein hai saamaan-e-nashaat-e-jaavedaan karnaa kashida ho gae tum jab kashish saabit hui dil ki samajh kar chaahiye thaa jazb-e-dil kaa imtihaan karnaa vafaa kaa zikr khud karnaa khilaaf-e-rasm-e-ulfat hai subuk ho kar na pesh-e-dost baar-e-gham-garaan karnaa ba-in be-dast-o-paai mil bhi jaaegaa to kyaa hogaa abas hai fikr-e-manzil mein talaash-e-kaarvaan karnaa mujhe teri razaa marghub thi varna na thaa mumkin jafaa-e-dostaan sahnaa sanaa-e-dushmanaan karnaa unhein zid hai ki hain aazurda mujh se be-sabab varna nahin hai jurm kuchh zikr-e-jafaa-e-aasmaan karnaa sar-e-mimbar hai vaaiz mo'tariz kyon but-parasti par yahaan laazim nahin mard-e-khudaa zikr-e-butaan karnaa kisi kaa raaz itnaa qimti thaa qalb-e-'bekhud' mein khamoshi ko zaruri ho gayaa qufl-e-dahaan karnaa"
"hijr ki shab zulf-e-barham kaa khayaal aataa rahaa ik na ik har din mire sar par vabaal aataa rahaa shukr hai taarik dil mein raushni ke vaaste go tasavvur mein sahi us kaa jamaal aataa rahaa hai karam us kaa ki ham se be-basar ke vaaste aalam-e-amsaal mein vo be-misaal aataa rahaa bhulne vaale ko aakhir dil bhulaae kis tarah be-khayaali mein bhi jab us kaa khayaal aataa rahaa main ne apni khastagi ki daad paai is tarah mere arz-e-haal par un ko jalaal aataa rahaa bas yahi kyaa kam hai meri saaf-goi ki dalil un ke dil mein meri jaanib se malaal aataa rahaa kyaa bigaD jaataa jo ho jaati tavajjoh ki nazar muddaton dar par gadaa-e-be-savaal aataa rahaa mujh ko 'bekhud' jab kabhi aayaa hai tauba kaa khayaal der tak apne gunaahon kaa khayaal aataa rahaa"
"nigaah-e-mehr se dekho na gham-zada dil ko banaao aur na mushkil hamaari mushkil ko zamaana qatl huaa aur vo rahi pyaasi gilaa hai abru-e-qaatil se tegh-e-qaatil ko mire khayaal ne khalvat ko kar diyaa mahfil tiri nigaah ne khalvat banaayaa mahfil ko na jaane dil kaa tujhe kuchh khayaal hai ki nahin tiraa khayaal to vajh-e-nashaat hai dil ko nishaan-e-manzil-e-maqsud paa hi jaaegaa vo rah-navard ki madfan banaa de manzil ko jilaa de barq jo haasil se hai yahi haasil ki khauf-e-barq se haasil na ho sukun dil ko kahaan se aai ye hairat nigaah-e-'bekhud' mein ki us ko dekh ke sakta hai ahl-e-mahfil ko"
"hai ye to khizaan ne ruup bharaa ham jis ko bahaaraan kahte hain bas ek nazar kaa dhokaa hai sab jis ko gulistaan kahte hain izzat bhi hai daulat bhi par aadamiyat kaa naam nahin ham kis ko hindu kahte hain ham kis ko musalmaan kahte hain kuchh der ho to ham sabr karein andher nahin dekhaa jaataa hai apne ghar mein aag lagi sab jis ko charaaghaan kahte hain ai saath safar karne vaalo Thahro na yahaan aage ko baDho ham jis ko manzil samjhe hain sab bhul-bhulayyaan kahte hain jab aql mujhe samjhaati hai behosh na ho naadaan na ban dil se gham-e-jaanaan kahtaa hai us ko gham-e-dauraan kahte hain hain dafn yahaan daulat vaale taaqat vaale izzat vaale qudrat kaa dafina hai jis ko ham gor-e-gharibaan kahte hain pi ghaafil ab parhez na kar kuchh talkh sahi kuchh tez sahi le de ke yahi hai ek davaa-e-gardish-e-dauraan kahte hain maikhaane ke phere kartaa hai ab vaaiz 'bekhud' sunte hain us ne bhi shaayad baandh liyaa paimaane se paimaan kahte hain"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"