SHAWORDS

aish ke rang malaalon se dabe jaate hain — Muztar Khairabadi

"aish ke rang malaalon se dabe jaate hain ab to ham apne hi haalon se dabe jaate hain paanv rakhnaa mujhe sahraa mein bhi dushvaar hai ab saare kaanTe mire chhaalon se dabe jaate hain tauba tauba vo mire khvaab mein kyaa aaeinge jaagte mein jo khayaalon se dabe jaate hain allaah allaah ri nazaakat tire rukhsaaron ki itne naazuk hain ki khaalon se dabe jaate hain tu hai koThe pe to katraa ke nikalti hai ghaTaa kaale baadal tire baalon se dabe jaate hain kyaa dabaaeinge ubhar kar tire joban zaalim ye to khud dekhne vaalon se dabe jaate hain un ko ai shauq-e-talab chheD ke mahjub na kar jo mohabbat ke khayaalon se dabe jaate hain be-tarah baar-e-mohabbat to paDaa hai un par aap kyuun chaahne vaalon se dabe jaate hain baar huun dida-e-arbaab-e-sukhan par 'muztar' muddai mere kamaalon se dabe jaate hain"
Urdu

عیش کے رنگ ملالوں سے دبے جاتے ہیں اب تو ہم اپنے ہی حالوں سے دبے جاتے ہیں پاؤں رکھنا مجھے صحرا میں بھی دشوار ہے اب سارے کانٹے مرے چھالوں سے دبے جاتے ہیں توبہ توبہ وہ مرے خواب میں کیا آئیں گے جاگتے میں جو خیالوں سے دبے جاتے ہیں اللہ اللہ ری نزاکت ترے رخساروں کی اتنے نازک ہیں کہ کھالوں سے دبے جاتے ہیں تو ہے کوٹھے پہ تو کترا کے نکلتی ہے گھٹا کالے بادل ترے بالوں سے دبے جاتے ہیں کیا دبائیں گے ابھر کر ترے جوبن ظالم یہ تو خود دیکھنے والوں سے دبے جاتے ہیں ان کو اے شوق طلب چھیڑ کے محجوب نہ کر جو محبت کے خیالوں سے دبے جاتے ہیں بے طرح بار محبت تو پڑا ہے ان پر آپ کیوں چاہنے والوں سے دبے جاتے ہیں بار ہوں دیدۂ ارباب سخن پر مضطرؔ مدعی میرے کمالوں سے دبے جاتے ہیں

Hindi

ऐश के रंग मलालों से दबे जाते हैं अब तो हम अपने ही हालों से दबे जाते हैं पाँव रखना मुझे सहरा में भी दुश्वार है अब सारे काँटे मिरे छालों से दबे जाते हैं तौबा तौबा वो मिरे ख़्वाब में क्या आएँगे जागते में जो ख़यालों से दबे जाते हैं अल्लाह अल्लाह री नज़ाकत तिरे रुख़्सारों की इतने नाज़ुक हैं कि खालों से दबे जाते हैं तू है कोठे पे तो कतरा के निकलती है घटा काले बादल तिरे बालों से दबे जाते हैं क्या दबाएँगे उभर कर तिरे जोबन ज़ालिम ये तो ख़ुद देखने वालों से दबे जाते हैं उन को ऐ शौक़-ए-तलब छेड़ के महजूब न कर जो मोहब्बत के ख़यालों से दबे जाते हैं बे-तरह बार-ए-मोहब्बत तो पड़ा है उन पर आप क्यूँ चाहने वालों से दबे जाते हैं बार हूँ दीदा-ए-अर्बाब-ए-सुख़न पर 'मुज़्तर' मुद्दई मेरे कमालों से दबे जाते हैं

aish ke rañg malāloñ se dabe jaate haiñ
Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
poet268 quotes

More by Muztar Khairabadi

View all →
Quote
"jab kahaa tiir tiri aankh ne aksar maaraa chitvanein pher ke bole ki baraabar maaraa qadr kuchh bhi mire dil ki but-e-kaafir ne na ki zulf-e-pechaan se jo uljhaa to mire sar maaraa jaan be-maut khudaa bhi nahin letaa lekin tu ne be-maut hi logon ko sitamgar maaraa chand zarre meri miTTi ke faqat haath aae dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar maaraa ik musalmaan kaa dil toD diyaa kyaa kahnaa apne nazdik baDaa aap ne kaafar maaraa 'muztar' aisaa koi ab tak na huaa aur na ho maut ne haae 'abas daagh-e-sukhanavar maaraa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"kaise dil lagtaa haram mein daur-e-paimaana na thaa is liye phir aae kaabe se ki mai-khaana na thaa tum ne dekhi hi nahin taqdir ki taarikiyaan ik andheri gor thi furqat mein kaashaana na thaa majma-e-bait-ul-haram ki dhuum sunte the magar jaa ke jab dekhaa to un mein koi farzaana na thaa hashr mein us shokh kaa tarz-e-taghaaful dekhnaa mujh ko pahchaanaa nahin haalaanki begaana na thaa hashr mein aakhir use bhi chhoDte hi ban paDi khaana-e-madfan bhi goyaa apnaa kaashaana na thaa aisi kyaa biiti ki 'muztar' un buton par mar miTaa jaan de detaa vo kuchh aisaa to divaana na thaa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"ik naqsh-e-khayaal ru-ba-ru hai jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai har phuul ke saath ek kaanTaa har dost ke saath ik adu hai dil hai to hazaar tujh se achchhe aisaa hi to ik baDaa vo tu hai dushman ke jigar kaa khaar main huun aur us ke gale kaa haar tu hai daaman jo hai parda-daar-e-vahshat is mein bhi kai jagah rafu hai main aap hi aap ro rahaa huun kuchh aap hi aap guftugu hai mahshar mein kisi kaa haae kahnaa ab aap ke haath aabru hai o ghair ko aankh dene vaale 'muztar' bhi nigaah-e-ru-ba-ru hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"jaan ye kah ke but-e-hosh-rubaa ne le li koi puchhe to ye kahnaa ki khudaa ne le li gul-e-maqsud mein avval to mahak thi hi nahin aur jo thi bhi vo hasrat ki havaa ne le li sab se pahle to siyaahi miri qismat ko mili jo bachi thi vo tiri zulf-e-dotaa ne le li jaan kambakht mohabbat mein bachaae na bachi but-e-kaafir se jo chhuTi to khudaa ne le li dam-e-aakhir but-e-bedard kaa daaman chhuTaa mere haathon se baDi chiiz khudaa ne le li chal basi jaan to is baat kaa gham kyaa 'muztar' ik amaanat thi khudaa ki so khudaa ne le li"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb