SHAWORDS

dil le ke hasinon ne ye dastur nikaalaa — Muztar Khairabadi

"dil le ke hasinon ne ye dastur nikaalaa dil jis kaa liyaa us ko bahut duur nikaalaa zaahid ko kisi aur ki baatein nahin aatin aayaa to vahi tazkira-e-hur nikaalaa dushman ko ayaadat ke liye yaar ne bhejaa achchhaa ye ilaaj-e-dil-e-ranjur nikaalaa ai tir-e-sitam chal tiri daavat hai mire ghar zakhm-e-dil-e-naashaad ne ankur nikaalaa vo tazkira-e-ghair pe jhunjhlaa ke ye bole phir aap ne 'muztar' vahi mazkur nikaalaa"
Urdu

دل لے کے حسینوں نے یہ دستور نکالا دل جس کا لیا اس کو بہت دور نکالا زاہد کو کسی اور کی باتیں نہیں آتیں آیا تو وہی تذکرۂ حور نکالا دشمن کو عیادت کے لیے یار نے بھیجا اچھا یہ علاج دل رنجور نکالا اے تیر ستم چل تری دعوت ہے مرے گھر زخم‌ دل ناشاد نے انکور نکالا وہ تذکرۂ غیر پہ جھنجھلا کے یہ بولے پھر آپ نے مضطرؔ وہی مذکور نکالا

Hindi

दिल ले के हसीनों ने ये दस्तूर निकाला दिल जिस का लिया उस को बहुत दूर निकाला ज़ाहिद को किसी और की बातें नहीं आतीं आया तो वही तज़किरा-ए-हूर निकाला दुश्मन को अयादत के लिए यार ने भेजा अच्छा ये इलाज-ए-दिल-ए-रंजूर निकाला ऐ तीर-ए-सितम चल तिरी दावत है मिरे घर ज़ख़्म-ए-दिल-ए-नाशाद ने अंकूर निकाला वो तज़्किरा-ए-ग़ैर पे झुँझला के ये बोले फिर आप ने 'मुज़्तर' वही मज़कूर निकाला

dil le ke hasīnoñ ne ye dastūr nikālā
Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
poet268 quotes

More by Muztar Khairabadi

View all →
Quote
"jab kahaa tiir tiri aankh ne aksar maaraa chitvanein pher ke bole ki baraabar maaraa qadr kuchh bhi mire dil ki but-e-kaafir ne na ki zulf-e-pechaan se jo uljhaa to mire sar maaraa jaan be-maut khudaa bhi nahin letaa lekin tu ne be-maut hi logon ko sitamgar maaraa chand zarre meri miTTi ke faqat haath aae dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar maaraa ik musalmaan kaa dil toD diyaa kyaa kahnaa apne nazdik baDaa aap ne kaafar maaraa 'muztar' aisaa koi ab tak na huaa aur na ho maut ne haae 'abas daagh-e-sukhanavar maaraa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"kaise dil lagtaa haram mein daur-e-paimaana na thaa is liye phir aae kaabe se ki mai-khaana na thaa tum ne dekhi hi nahin taqdir ki taarikiyaan ik andheri gor thi furqat mein kaashaana na thaa majma-e-bait-ul-haram ki dhuum sunte the magar jaa ke jab dekhaa to un mein koi farzaana na thaa hashr mein us shokh kaa tarz-e-taghaaful dekhnaa mujh ko pahchaanaa nahin haalaanki begaana na thaa hashr mein aakhir use bhi chhoDte hi ban paDi khaana-e-madfan bhi goyaa apnaa kaashaana na thaa aisi kyaa biiti ki 'muztar' un buton par mar miTaa jaan de detaa vo kuchh aisaa to divaana na thaa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"ik naqsh-e-khayaal ru-ba-ru hai jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai har phuul ke saath ek kaanTaa har dost ke saath ik adu hai dil hai to hazaar tujh se achchhe aisaa hi to ik baDaa vo tu hai dushman ke jigar kaa khaar main huun aur us ke gale kaa haar tu hai daaman jo hai parda-daar-e-vahshat is mein bhi kai jagah rafu hai main aap hi aap ro rahaa huun kuchh aap hi aap guftugu hai mahshar mein kisi kaa haae kahnaa ab aap ke haath aabru hai o ghair ko aankh dene vaale 'muztar' bhi nigaah-e-ru-ba-ru hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"vaqt-e-aakhir yaad hai saaqi ki mehmaani mujhe marte marte de diyaa angur kaa paani mujhe vo miri surat to dekhein apni surat ke liye kaash aaina banaa de meri hairaani mujhe kaT gayaa hai vasl se pahle zamaana umr kaa haae dhokaa de gayaa bahtaa huaa paani mujhe daaman-e-sahraa se lungaa mar ke vahshat mein kafan ik nayaa joDaa pinhaaegi ye uryaani mujhe mere gul ko laa yaa apne phuul le jaa andalib aise kaanTon se nahin faansein nikalvaani mujhe tum agar chaaho to miTTi se abhi paidaa hon phuul main agar maangun to dariyaa bhi na de paani mujhe tishna-kaami is ko kahte hain ki bahr-e-ishq mein main agar utrun to uupar pheink de paani mujhe aisi mushkil tum ne Daali hai ki jab mar jaaungaa muddaton royaa karegi meri aasaani mujhe tu ne itni di ki mai-khvaari ki hasrat bah gai main ne itni pi ki aakhir ho gai paani mujhe rone jaataa huun main apni hasraton ke Dher par be-kasi aa kar sikhaa de marsiya-khvaani mujhe hashr mein chalnaa paDegaa ek TeDhaa raasta kucha-e-jaanaan sikhaa de Thokarein khaani mujhe 'muztar' apne haq ke kaanTe chun ke main rukhsat huaa aur kyaa deti bahaar-e-gulshan-e-faani mujhe"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"jaan ye kah ke but-e-hosh-rubaa ne le li koi puchhe to ye kahnaa ki khudaa ne le li gul-e-maqsud mein avval to mahak thi hi nahin aur jo thi bhi vo hasrat ki havaa ne le li sab se pahle to siyaahi miri qismat ko mili jo bachi thi vo tiri zulf-e-dotaa ne le li jaan kambakht mohabbat mein bachaae na bachi but-e-kaafir se jo chhuTi to khudaa ne le li dam-e-aakhir but-e-bedard kaa daaman chhuTaa mere haathon se baDi chiiz khudaa ne le li chal basi jaan to is baat kaa gham kyaa 'muztar' ik amaanat thi khudaa ki so khudaa ne le li"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari