SHAWORDS

chhaanv afsos daaimi na rahi — Irshad Khan Sikandar

"chhaanv afsos daaimi na rahi dhuup kaa kyaa rahi rahi na rahi aasraa chhin gayaa hai jiine kaa aas thi jo rahi-sahi na rahi ho gayaa khvaab phuul saa chehra shaakh-e-dil bhi hari-bhari na rahi bah gae aansuon ke dariyaa mein aap ki baat yaad hi na rahi ik udaasi thi raat thi ham the aur phir haajat-e-khushi na rahi mashvara jas kaa tas rahaa lekin mashvaron ki kabhi kami na rahi vaaqia jo huaa huaa lekin daastaan aap se juDi na rahi un ilaaqon mein kyaa rahaa saahib jin ilaaqon mein shaaeri na rahi ik tamannaa thi teri mahfil mein kyuun rahein ham agar vahi na rahi"
Urdu

چھاؤں افسوس دائمی نہ رہی دھوپ کا کیا رہی رہی نہ رہی آسرا چھن گیا ہے جینے کا آس تھی جو رہی سہی نہ رہی ہو گیا خواب پھول سا چہرہ شاخ دل بھی ہری بھری نہ رہی بہہ گئے آنسوؤں کے دریا میں آپ کی بات یاد ہی نہ رہی اک اداسی تھی رات تھی ہم تھے اور پھر حاجت خوشی نہ رہی مشورہ جس کا تس رہا لیکن مشوروں کی کبھی کمی نہ رہی واقعہ جو ہوا ہوا لیکن داستاں آپ سے جڑی نہ رہی ان علاقوں میں کیا رہا صاحب جن علاقوں میں شاعری نہ رہی اک تمنا تھی تیری محفل میں کیوں رہیں ہم اگر وحی نہ رہی

Hindi

छाँव अफ़्सोस दाइमी न रही धूप का क्या रही रही न रही आसरा छिन गया है जीने का आस थी जो रही-सही न रही हो गया ख़्वाब फूल सा चेहरा शाख़-ए-दिल भी हरी-भरी न रही बह गए आँसुओं के दरिया में आप की बात याद ही न रही इक उदासी थी रात थी हम थे और फिर हाजत-ए-ख़ुशी न रही मशवरा जस का तस रहा लेकिन मश्वरों की कभी कमी न रही वाक़िआ जो हुआ हुआ लेकिन दास्ताँ आप से जुड़ी न रही उन इलाक़ों में क्या रहा साहिब जिन इलाक़ों में शायरी न रही इक तमन्ना थी तेरी महफ़िल में क्यूँ रहें हम अगर वही न रही

chhāñv afsos dā.imī na rahī
Irshad Khan Sikandar
Irshad Khan Sikandar
Irshad Khan Sikandar
poet38 quotes

More by Irshad Khan Sikandar

View all →
Quote
"dil o nazar mein tire ruup ko basaataa huaa tiri gali se guzartaa huun jagmagaataa huaa ghazal ke phuul mire zehn mein mahakte hue tiraa khayaal mujhe raat bhar jagaataa huaa vo baargaah-e-adab hai aqidaton ki jagah main us gali se kyuun guzrungaa khaak uDaataa huaa mire junun se harifon ke paanv ukhaDte hue main jaan dene ke chakkar mein jaan bachaataa huaa kise milaa tire qadmon mein jaan de denaa main surkh-ru huaa chaahat ke kaam aataa huaa tumhaari yaad mujhe is tarah se lagti hai koi charaagh andhere mein jhilmilaataa huaa hatheliyon ki lakirein mujhe parakhti huiin main har qadam pe muqaddar ko aazmaataa huaa javaab kyuun hain sabhi khaamoshi mein dubke hue savaal zehn ke aangan mein aataa jaataa huaa mire khilaaf sabhi saazishein rachin jis ne vo ro rahaa hai miri daastaan sunaataa huaa hamaari samt lagaataar vaar hote hue use bachaane mein aksar main choT khaataa huaa"
Irshad Khan SikandarIrshad Khan Sikandar
Quote
"bujhe ho, haath maayusi lagi hai kyaa dar-e-ulfat pe ab kunDi lagi hai kyaa abhi bhi tujh dar-e-dil par bataa jaanaan hamaare naam ki takhti lagi hai kyaa samundar baukhalaayaa phir rahaa hai kyuun kinaare phir koi kashti lagi hai kyaa hamin tum se hamesha milne aaein kyuun tumhaare paanv mein mehndi lagi hai kyaa kaTe hain par to kaTne do miyaan socho iraadon par koi qainchi lagi hai kyaa jahaan kal ishq par charchaa huaa ghanTon vahin ab husn ki manDi lagi hai kyaa hain aankhein surkh lab zakhmi anaa ghaayal tire kirdaar ki boli lagi hai kyaa tiri galiyon se jo guzraa use jaanaan bhalaa duniyaa kabhi achchhi lagi hai kyaa yaqinan aaj be-parda vo nikle hain vagarna chaandni phiki lagi hai kyaa na duniyaa hai na uljhan hai sukun hai bas Thikaane ab miri miTTi lagi hai kyaa kitaabein ghar mire suraj si raushan hain tire kamre mein ye batti lagi hai kyaa zabaan se aah kyaa uf tak nahin nikli to ab ke choT kuchh gahri lagi hai kyaa miTaa loge jihaalat ko 'sikandar' tum tumhein bhi ye nai dhunki lagi hai kyaa"
Irshad Khan SikandarIrshad Khan Sikandar
Quote
"bahut chup huun ki huun chaunkaa huaa main zamin par aa giraa uDtaa huaa main badan se jaan to jaa hi chuki thi kisi ne chhu liyaa zinda huaa main na jaane lafz kis duniyaa mein khoe tumhaare saamne gungaa huaa main bhanvar mein chhoD aae the mujhe tum kinaare aa lagaa bahtaa huaa main ba-zaahir dikh rahaa huun tanhaa tanhaa kisi ke saath huun bichhDaa huaa main chalaa aayaa huun sahraaon ki jaanib tumhaare dhyaan mein Duubaa huaa main ab apne-aap ko khud DhunDhtaa huun tumhaari khoj mein niklaa huaa main miri aankhon mein aansu to nahin hain magar huun ruuh tak bhigaa huaa main banaai kis ne ye tasvir sachchi vo ubhraa chaand ye Dhaltaa huaa main"
Irshad Khan SikandarIrshad Khan Sikandar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari