"jaan-e-husn aur kaaenaat-e-rang-o-bu kyaa chiiz hai teri qurbat kah gai ai yaar tu kyaa chiiz hai vasl ki be-intihaa sarmastiyon se puchh lo ki surur-aaraa husul-e-justuju kyaa chiiz hai jaan jaaoge tumhaaraa bhi kabhi TuuTaa jo dil ki gham-o-dard-e-shikast-e-aarzu kyaa chiiz hai jitni dilbar ki mire shakl-o-shamaail hai hasin itni dilkash aur itni khub-ru kyaa chiiz hai kaif se labrez us ki chashm-gin ke saamne saaqiyaa teraa ye mai-parvar subu kyaa chiiz hai chaand hai suraj hai phul-o-khushbu hai yaa hai dhanak bolo meri jaanaan jaisi hu-ba-hu kyaa chiiz hai mujh se mat puchho kisi se dil lagaa kar dosto jaan lo aavaargi-e-ku-ba-ku kyaa chiiz hai main khamoshi ko hi behtar jaantaa thaa ai 'zaki' un se baatein karke samjhaa guftugu kyaa chiiz hai"
de ke shahkaar khadd-o-khaal use — Zaki Tariq Barabankavi
"de ke shahkaar khadd-o-khaal use kar diyaa rab ne be-misaal use zeb detaa hai ye jalaal use hai milaa aisaa hi jamaal use vo kisi aur kaa huaa niklaa ab to paanaa lage muhaal use phuul khil uThte hain qadam-ba-qadam kyaa hasin-tar mili hai chaal use munfarid ho gai hai zaat us ki rab ne bakhshe hain vo kamaal use jaise main sochtaa huun us ko bahut kyaa miraa bhi hai yuun khayaal use har ghaDi muzmahil saa hai rahtaa jaane hai kaun saa malaal use"
دے کے شہکار خد و خال اسے کر دیا رب نے بے مثال اسے زیب دیتا ہے یہ جلال اسے ہے ملا ایسا ہی جمال اسے وہ کسی اور کا ہوا نکلا اب تو پانا لگے محال اسے پھول کھل اٹھتے ہیں قدم بہ قدم کیا حسیں تر ملی ہے چال اسے منفرد ہو گئی ہے ذات اس کی رب نے بخشے ہیں وہ کمال اسے جیسے میں سوچتا ہوں اس کو بہت کیا مرا بھی ہے یوں خیال اسے ہر گھڑی مضمحل سا ہے رہتا جانے ہے کون سا ملال اسے
दे के शहकार ख़द्द-ओ-ख़ाल उसे कर दिया रब ने बे-मिसाल उसे ज़ेब देता है ये जलाल उसे है मिला ऐसा ही जमाल उसे वो किसी और का हुआ निकला अब तो पाना लगे मुहाल उसे फूल खिल उठते हैं क़दम-ब-क़दम क्या हसीं-तर मिली है चाल उसे मुनफ़रिद हो गई है ज़ात उस की रब ने बख़्शे हैं वो कमाल उसे जैसे मैं सोचता हूँ उस को बहुत क्या मिरा भी है यूँ ख़याल उसे हर घड़ी मुज़्महिल सा है रहता जाने है कौन सा मलाल उसे

More by Zaki Tariq Barabankavi
View all →"qurb ke tasavvur se dosti banaa Daalein raat saa surur-afzaa din ko bhi banaa Daalein saath saath jiine aur marne ki qasam khaa kar pahli pahli chaahat ko aakhiri banaa Daalein yaadon ke diye rakh kar ishq ke shabistaan mein aao is andhere ko raushni banaa Daalein aashnaai ko rang-e-aashiqi ataa karke chaliye is takalluf ko dilbari banaa Daalein aur paas aa jaanaan palkon ko uThaa jaanaan aankhon ki ziyaarat ko mai-kashi banaa Daalein us ki bevafaai kaa sog aakhirash kab tak kyon na ab har ik gham ko ham khushi banaa Daalein itne dhoke khaae hain ab ye dil mein aataa hai har shanaasaa chehre ko ajnabi banaa Daalein baazuon mein ham apne quvvat-e-amal rakh kar maut ke thapeDe ko zindagi banaa Daalein"
"niyat bhaanpne kaa hunar jaantaa hai miraa yaar paDhnaa nazar jaantaa hai zabardasti anjaan hai ban rahaa vo miraa haal-e-dil sar-basar jaantaa hai pata to hain aadaab-e-ishq us ko lekin haan itnaa hai kuchh mukhtasar jaantaa hai baDi khubiyon vaalaa hai chaaraagar vo mudaavaa-e-dard-e-jigar jaantaa hai mujhe bandagi kaa sabaq mat paDhaao kahaan jhuknaa hai meraa sar jaantaa hai akelaa nikal kar huaa qaafila ik kuchh aisaa vo fann-e-safar jaantaa hai har ik gham kaa andaaz jaise jahaan mein faqat meraa hi ek ghar jaantaa hai shifaayaab kis ki duaa se huaa huun ye rab yaa duaa kaa asar jaantaa hai guzaari hai umr us ne be-khauf ho kar magar kaisaa hotaa hai Dar jaantaa hai"
"kaho ik dusre ki kab zarurat ho gae ham tum bhalaa kaise giraftaar-e-mohabbat ho gae ham tum anaa adl aatmaa sach sab kaa saudaa yaar kar baiThe sitam hai is tarah se nazr-e-ghurbat ho gae ham tum mohabbat ke muqaddas mohtaram maahaul mein rah kar zaraa dekho to kitne khubsurat ho gae ham tum ghalat-fahmi ghurur-o-shaan-o-zid aur vahm ke haathon bas ik pal mein mohabbat se adaavat ho gae ham tum zahe qismat ai hamdam apne fart-e-ishq ke sadqe junun ki ek taarikhi hikaayat ho gae ham tum chhaTe jab bad-gumaani ke andhere tab samajh paae ki tark-e-ishq se mahrum-e-neamat ho gae ham tum hamaari dosti ko dekh kar kuDhte hain bechaare jahaan vaalon ki khaatir yaar zahmat ho gae ham tum sabhi kahte hain tifli mein bahut maasum bhole the javaan ho kar bhalaa kaise qayaamat ho gae ham tum"
"manaataa huun magar vaise hi bas ruThe hue se hain vo shaayad tark-e-ulfat ki qasam khaae hue se hain tumhaare hijr ke sadmon ne haalat ye banaa di hai na ham soe hue se hain na ham jaage hue se hain bas itne se samajh lo ku-e-jaanaan ke fazaael tum gulon ke misl hi kaanTe vahaan mahke hue se hain ai mere sabr zindabaad ai meri pyaas zindabaad jo paimaane ki khaali the vo sab chhalke hue se hain miri parvaaz pahle jaisi rifat kyon nahin paati zaraa dekho to kuchh par kyaa mire katre hue se hain ba-zaahir aur ba-baatin mein yahi ik farq hai saahib vo mere saath mein to hain magar bichhDe hue se hain tire dil mein bhi kyaa chaahat ke narm ehsaas jaag uTThe tire andaaz aakhir aaj kyon badle hue se hain zarur un se junun-bar-dosh divaane gae honge pahaaDon aur chaTTaanon pe jo raste hue se hain"
"ujaalon se taalluq joD kar aahista aahista kamandein Daalungaa main chaand par aahista aahista banoge tum mire ik din magar aahista aahista duaaon mein miri hogaa asar aahista aahista mohabbat kaa mire rashk-e-qamar aahista aahista tire is dil pe bhi hogaa asar aahista aahista unhein dekhaa thaa ham ne bas uchaTti si nigaahon se magar vo kar rahe hain dil mein ghar aahista aahista mayassar ik moattar phuul ki mujh ko rifaaqat hai miraa jaari hai khushbu kaa safar aahista aahista nikhar aayaa hai dhire dhire teraa husn-e-dilkash ab mohabbat se bhi ai jaanaan sanvar aahista aahista tiraa badmast pariyon saa saraapaa aaj dekhaa to hui nabz-e-nafas zer-o-zabar aahista aahista vo kitne pahron mein aur bandishon mein ho magar us tak pahunch jaaegaa meraa naama-bar aahista aahista"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"