SHAWORDS

dein jise chaahein dil hamaaraa hai — Lala Madhav Ram Jauhar

"dein jise chaahein dil hamaaraa hai is mein kyaa aap kaa ijaaraa hai bahki bahki jo karte ho taqrir sach kaho dil kahaan tumhaaraa hai jaan dete hain sabr karte hain vaah kyaa hausla hamaaraa hai siine se lipTo yaa galaa kaaTo ham tumhaare hain dil tumhaaraa hai paani talvaar kaa na piine diyaa sukhe ghaaT aap ne utaaraa hai"
Urdu

دیں جسے چاہیں دل ہمارا ہے اس میں کیا آپ کا اجارا ہے بہکی بہکی جو کرتے ہو تقریر سچ کہو دل کہاں تمہارا ہے جان دیتے ہیں صبر کرتے ہیں واہ کیا حوصلہ ہمارا ہے سینے سے لپٹو یا گلا کاٹو ہم تمہارے ہیں دل تمہارا ہے پانی تلوار کا نہ پینے دیا سوکھے گھاٹ آپ نے اتارا ہے

Hindi

दें जिसे चाहें दिल हमारा है इस में क्या आप का इजारा है बहकी बहकी जो करते हो तक़रीर सच कहो दिल कहाँ तुम्हारा है जान देते हैं सब्र करते हैं वाह क्या हौसला हमारा है सीने से लिपटो या गला काटो हम तुम्हारे हैं दिल तुम्हारा है पानी तलवार का न पीने दिया सूखे घाट आप ने उतारा है

deñ jise chāheñ dil hamārā hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Lala Madhav Ram Jauhar
Lala Madhav Ram Jauhar
poet212 quotes

More by Lala Madhav Ram Jauhar

View all →
Quote
"kunj-e-qafas se pahle ghar apnaa kahaan na thaa aae yahaan to hausla-e-aashiyaan na thaa tujh ko samajh ke khvaab mein pahunchaa main jis jagah dekhaa jo aankh khol ke to kuchh vahaan na thaa ik ik qadam pe ab to qayaamat ki dhuum hai aage to ye chalan kabhi ai jaan-e-jaan na thaa Thahri jo vasl ki to hui subh shaam se but mehrbaan hue to khudaa mehrbaan na thaa kyunkar qasam pe aaj mujhe e'tibaar aae kis din khudaa tumhaare mire darmiyaan na thaa toDaa jo phuul bulbul-e-shaidaa ke saamne kyaa tere dil mein dard kuchh ai baaghbaan na thaa"
Lala Madhav Ram JauharLala Madhav Ram Jauhar
Quote
"but-kade mein na tujhe kaabe ke andar paayaa donon aalam se judaa ham ne tiraa ghar paayaa yuun to duniyaa mein qayaamat ke pari-ru dekhe sab se baDh kar tujhe ai fitna-e-mahshar paayaa apni apni hai ye taqdir sabhi the saail ek ko shisha milaa ek ne patthar paayaa be-khudi ne mujhe didaar dikhaayaa teraa tujh ko paayaa to magar aap ko kho kar paayaa chashma-e-faiz hai kyaa zaat mire saaqi ki ek qatre ko kahaa jis ne samundar paayaa khush-nasib aap bhi duniyaa mein hain kyaa ai 'jauhar' muntazir yaar ko pahle hi se dar par paayaa"
Lala Madhav Ram JauharLala Madhav Ram Jauhar
Quote
"haram mein muddaton DhunDaa shivaalon mein phiraa barson talaash-e-yaar mein bhaTkaa kiyaa main baar-haa barson mahinon haath joDe ki khushaamad baar-haa barson inhein jhagDon mein mujh ko ho gae ai bevafaa barson maaaz-allaah is aazurdagi kaa kyaa Thikaana hai jo puchhaa yaar se kab tak na bologe kahaa barson ghanimat jaan jo din zindagi ke aish mein guzrein kisi kaa bhi nahin rahtaa zamaana ek saa barson vahi khun-e-shahid-e-naaz ab barbaad hotaa hai rahaa ban kar jo tere haath mein rang-e-hinaa barson hamaari be-qaraari kaa zaraa tum ko na dhyaan aayaa mahinon muntazir rakkhaa dikhaayaa raastaa barson zamaane mein hamesha har mahine chaand hotaa hai tiraa jalva nazar aataa nahin ai mah-laqaa barson vahin par le chali be-taabi-e-dil vaah-ri qismat phiraa ki sar paTakti jis jagah meri duaa barson adaa ho shukr kyun-kar be-kasi o naa-umidi kaa rahi hain saath furqat mein yahi do aashnaa barson na aayaa ek din bhi vo but-e-be-rahm ai 'jauhar' uThaa kar haath kaabe ki taraf maangi duaa barson"
Lala Madhav Ram JauharLala Madhav Ram Jauhar
Quote
"hote khudaa ke us but-e-kaafir ki chaah ki itni to baat mujh se hui hai gunaah ki soz-e-darun kiyaa jo miraa shama ne bayaan jal kar zabaan kaaT li mere gavaah ki bhartaa hai aaj khuub taraare samand-e-naaz qumchi hai un ke haath mein zulf-e-siyaah ki dekhaa huzur ko jo mukaddar to mar gae ham miT gae jo aap ne maili nigaah ki furqat mein yaad aae jo lutf-e-shab-e-visaal ik aah bhar ke jaanib-e-gardun nigaah ki sunsaan kar diyaa mire pahlu ko le ke dil zaalim ne luuT kar miri basti tabaah ki vo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhnaa sab taaD jaaeinge sar-e-mahfil jo aah ki ham vo the dil hi dil mein kiyaa zabt-e-raaz-e-ishq sadme uThaa ke mar gae munh se na aah ki afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar kharaab tum ko khabar na ho mire haal-e-tabaah ki 'jauhar' khudaa ke fazl se aisi ghazal kahi shohrat mushaaire mein hui vaah-vaah ki"
Lala Madhav Ram JauharLala Madhav Ram Jauhar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri