SHAWORDS

dilon se uThne lagegaa dhuaan to kyaa hogaa — Masooda Hayat

HomeMasooda HayatGhazal
"dilon se uThne lagegaa dhuaan to kyaa hogaa badal gayaa kabhi rang-e-jahaan to kyaa hogaa machal gayaa jo dil-e-naa-tavaan to kyaa hogaa uThaa na ishq kaa baar-e-giraan to kyaa hogaa hamein fareb-e-mohabbat qubul hai lekin jo khul gai kabhi dil ki zabaan to kyaa hogaa ham ahl-e-dil hain kisi imtihaan se kyaa Darte liyaa falak ne tiraa imtihaan to kyaa hogaa hazaar dard sameTe hue huun ik dil mein bikhar gai jo miri daastaan to kyaa hogaa 'hayaat' kis ko dikhaaungi aabgina-e-dil milaa na koi yahaan qadr-daan to kyaa hogaa"
Urdu

دلوں سے اٹھنے لگے گا دھواں تو کیا ہوگا بدل گیا کبھی رنگ جہاں تو کیا ہوگا مچل گیا جو دل ناتواں تو کیا ہوگا اٹھا نہ عشق کا بار گراں تو کیا ہوگا ہمیں فریب محبت قبول ہے لیکن جو کھل گئی کبھی دل کی زباں تو کیا ہوگا ہم اہل دل ہیں کسی امتحاں سے کیا ڈرتے لیا فلک نے ترا امتحاں تو کیا ہوگا ہزار درد سمیٹے ہوئے ہوں اک دل میں بکھر گئی جو مری داستاں تو کیا ہوگا حیاتؔ کس کو دکھاؤں گی آبگینۂ دل ملا نہ کوئی یہاں قدرداں تو کیا ہوگا

Hindi

दिलों से उठने लगेगा धुआँ तो क्या होगा बदल गया कभी रंग-ए-जहाँ तो क्या होगा मचल गया जो दिल-ए-ना-तवाँ तो क्या होगा उठा न इश्क़ का बार-ए-गिराँ तो क्या होगा हमें फ़रेब-ए-मोहब्बत क़ुबूल है लेकिन जो खुल गई कभी दिल की ज़बाँ तो क्या होगा हम अहल-ए-दिल हैं किसी इम्तिहाँ से क्या डरते लिया फ़लक ने तिरा इम्तिहाँ तो क्या होगा हज़ार दर्द समेटे हुए हूँ इक दिल में बिखर गई जो मिरी दास्ताँ तो क्या होगा 'हयात' किस को दिखाउँगी आबगीना-ए-दिल मिला न कोई यहाँ क़द्र-दाँ तो क्या होगा

diloñ se uThne lagegā dhuāñ to kyā hogā
M
Masooda Hayat
Masooda Hayat
poet29 quotes

More by Masooda Hayat

View all →
Quote
"na raas aai chaman-zaar ki fazaa mujh ko mizaaj-e-barq ne be-ghar banaa diyaa mujh ko tamaam umr bhaTakte rahe jo raahon mein dikhaa rahe hain vahi aaj raastaa mujh ko hujum-e-dard mein dil ne to sab kaa saath diyaa milaa na apne hi ashkon kaa ham-navaa mujh ko vo paas the to har ik shai mein dil dhaDaktaa thaa vo duur hain to khaTakti hai har fazaa mujh ko ye kaarvaan na miri gumrahi pe yuun hanstaa rah-e-talab mein jo milte vo naqsh-e-paa mujh ko qadam qadam pe sanvaaraa jinhein mohabbat mein samajh rahe hain vahi ab shikasta-paa mujh ko koi rafiq na rahbar na koi raahguzar uDaa ke laai hai kis shahr mein havaa mujh ko 'hayaat' dukhti hui rag ko kis ne chheD diyaa uThi vo Tiis ki yaad aa gayaa khudaa mujh ko"
M
Masooda Hayat
Quote
"agarche kahne ko kal kaaenaat apni thi haqiqatan kahaan apni bhi zaat apni thi kahein to kis se kahein ham hayaat apni thi na koi din thaa hamaaraa na raat apni thi koi bhi aaj to apnaa nazar nahin aataa jo tum the apne to kul kaaenaat apni thi ye kyaa ki aaj koi naam tak nahin letaa vo din bhi the ki har ik lab pe baat apni thi hamaare paas rahaa kyaa hai ab ghamon ke sivaa vo din gae ki rah-e-shash-jihaat apni thi hamin se bhuul kahin ho gai mohabbat mein vagarna vo nigah-e-iltifaat apni thi jo tum qarib the har shai pe ikhtiyaar saa thaa ye chaand aur sitaaron ki raat apni thi hamein khud apni khirad kaa ghurur le Duubaa nahin to ek zamaane mein baat apni thi 'hayaat' is liye nazm-e-kuhan ko toD diyaa ki aaj sirf isi mein najaat apni thi"
M
Masooda Hayat
Quote
"koi to dil ki nigaahon se dekhtaa jaae hamaari ruuh ke kuchh gham sameTtaa jaae tumhaare milne ki har aas aaj TuuT gai tumhin bataao ki ab kis tarah jiyaa jaae zaraa to sochiye us dil kaa haal kyaa hogaa talaash-e-gul mein jo patthar ki choT khaa jaae sajaa ke tum ko gulon se uThaae hain patthar zamaana kitnaa sitamgar hai kyaa kiyaa jaae kareinge kaise haqiqat kaa saamnaa ham log hamein to khvaab hi koi dikhaa diyaa jaae kisi tarah to andhere ghamon ke chhaT jaaein miraa bujhaa huaa dil hi koi jalaa jaae rah-e-hayaat mein kaanTe bichhein ki phuul khilein ye shart hai tiri jaanib vo raasta jaae"
M
Masooda Hayat
Quote
"kyaa kahein mahfil se teri kyaa uThaa kar le gae ham mataa-e-dard ko tanhaa uThaa kar le gae dhuup kaa sahraa nazar aataa hai ab chaaron taraf aap to har peD kaa saayaa uThaa kar le gae is bhari duniyaa mein ab to koi bhi apnaa nahin jaise tum har dard kaa rishta uThaa kar le gae qatre qatre ko taraste hain vo ab ahl-e-havas jo kabhi dharti se har dariyaa uThaa kar le gae ab vahi zarre hamaare haal par hain khanda-zan aasmaan tak jin ko ham unchaa uThaa kar le gae kyaa gharaz ham ko vahaan ab koi bhi aabaad ho ham to us basti se ghar apnaa uThaa kar le gae vo to majnun thaa rahaa jo umar bhar sahraa-navard ham jahaan pahunche vahin sahraa uThaa kar le gae kar na paae raahbar bhi rahnumaai jab 'hayaat' ham bhi hairaani mein naqsh-e-paa uThaa kar le gae"
M
Masooda Hayat
Quote
"kyaa kahein mahfil se teri kyaa uThaa kar le gae ham mataa-e-dard ko tanhaa uThaa kar le gae dhuup kaa sahraa nazar aataa hai ab chaaron taraf aap to har peD kaa saayaa uThaa kar le gae ab vahi zarre hamaare haal par hain khanda-zan aasmaan tak jin ko ham unchaa uThaa kar le gae kyaa gharaz ham ko vahaan ab koi bhi aabaad ho ham to us basti se ghar apnaa uThaa kar le gae vo to majnun thaa rahaa jo umr bhar sahraa-navard ham jahaan pahunche vahin sahraa uThaa kar le gae kar na paae raahbar bhi rahnumaai jab 'hayaat' ham bhi hairaani mein naqsh-e-paa uThaa kar le gae"
M
Masooda Hayat

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil