Quote
"apni qismat mein gham-e-arsa-e-hijraan hai to kyaa ashk minnat-kash-e-gahvaara-e-mizhgaan hai to kyaa husn arbaab-e-haqiqat ko hai naazura-e-haq shaikh ji aap ko andesha-e-imaan hai to kyaa vaqt ke saath fuzun hotaa hai ehsaas-e-ziyaan fahm-o-idraak hi ghaarat-gar-e-insaan hai to kyaa be-muhaabaana masarrat ke taaaqub mein na dauD daam-e-nairang pas-e-sarhad-e-imkaan hai to kyaa ham to ik umr se hain muntazir-e-marg-e-khizaan ab ke logon mein agar zikr-e-bahaaraan hai to kyaa mausam aataa hai to kaanTon hi mein gul khilte hain dast-e-gul-chin mein agar nazm-e-gulistaan hai to kyaa zer-e-taamir isi haal mein hai mustaqbil is mein kuchh rekht kaa pahlu bhi numaayaan hai to kyaa"
