Quote
"basti se duur jaa ke koi ro rahaa hai kyuun aur puchhtaa hai shahr tiraa so rahaa hai kyuun rusvaaiyon kaa Dar hai na purshish kaa khauf hai daaman se apne daagh-e-vafaa dho rahaa hai kyuun kyaa lazzat-e-gunaah se dil aashnaa nahin sharminda mere haal pe tu ho rahaa hai kyuun vo un ki dil-fareb dil-aaraaiyaan kahaan maazi ke khauf-zaar mein ab kho rahaa hai kyuun 'faaruq'-ji kaa kab koi pursaan-e-haal thaa tanhaaiyon ke ghaar mein dil ro rahaa hai kyuun"
