Quote
"miri shikast tiraa imtihaan na ban jaae anaa supurd kare kaasa-e-gadaai bhi de vo TuTti hui duniyaa kaa shor hai yaa-rab ki moajiza hai jo aise mein kuchh sunaai bhi de baiid kyaa hai jise ham khizaan samajhte hain bahaar ban ke kharaabon ko dilrubaai bhi de sar-e-salib khamoshi miraa tariq nahin zabaan di hai to ehsaas-e-nai-navaai bhi de main aisi sar-phiri duniyaa ko kyaa kahun 'qaisar' ki sang-e-raah bane ta’n-e-naa-rasaai bhi de"
