"ghar lauT ke roeinge maan baap akele mein miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein kaanTon pe chale lekin hone na diyaa zaahir talvon kaa lahu dhoyaa chhup chhup ke akele mein ai daavar-e-mahshar le dekh aae tiri duniyaa ham khud ko bhi kho baiThe vo bhiiD thi mele mein khushbu ki tijaarat ne divaar khaDi kar di aangan ki chameli mein baazaar ke bele mein"
mire khudaa miri qaid-e-hayaat kam kar de — Qaisarul Jafri
"mire khudaa miri qaid-e-hayaat kam kar de charaagh de nahin saktaa to raat kam kar de sabhi to meri tarah hausla nahin rakhte sutun-e-daar ko do-chaar haath kam kar de mire vajud ki qimat agar parakhni hai ye kaaenaat uThaa meri zaat kam kar de main aadmi ke qaside ko band kartaa huun zaraa saa tu bhi farishton ki baat kam kar de tire khulus-e-musalsal se ji na bhar jaae kabhi kabhi nigah-e-iltifaat kam kar de ye roz-roz nai karbalaaein kaisi hain miri zamin se daagh-e-furaat kam kar de"
مرے خدا مری قید حیات کم کر دے چراغ دے نہیں سکتا تو رات کم کر دے سبھی تو میری طرح حوصلہ نہیں رکھتے ستون دار کو دو چار ہاتھ کم کر دے مرے وجود کی قیمت اگر پرکھنی ہے یہ کائنات اٹھا میری ذات کم کر دے میں آدمی کے قصیدے کو بند کرتا ہوں ذرا سا تو بھی فرشتوں کی بات کم کر دے ترے خلوص مسلسل سے جی نہ بھر جائے کبھی کبھی نگہ التفات کم کر دے یہ روز روز نئی کربلائیں کیسی ہیں مری زمین سے داغ فرات کم کر دے
मिरे ख़ुदा मिरी क़ैद-ए-हयात कम कर दे चराग़ दे नहीं सकता तो रात कम कर दे सभी तो मेरी तरह हौसला नहीं रखते सुतून-ए-दार को दो-चार हाथ कम कर दे मिरे वजूद की क़ीमत अगर परखनी है ये काएनात उठा मेरी ज़ात कम कर दे मैं आदमी के क़सीदे को बंद करता हूँ ज़रा सा तू भी फ़रिश्तों की बात कम कर दे तिरे ख़ुलूस-ए-मुसलसल से जी न भर जाए कभी कभी निगह-ए-इल्तिफ़ात कम कर दे ये रोज़-रोज़ नई कर्बलाएँ कैसी हैं मिरी ज़मीन से दाग़-ए-फ़ुरात कम कर दे

More by Qaisarul Jafri
View all →"miri shikast tiraa imtihaan na ban jaae anaa supurd kare kaasa-e-gadaai bhi de vo TuTti hui duniyaa kaa shor hai yaa-rab ki moajiza hai jo aise mein kuchh sunaai bhi de baiid kyaa hai jise ham khizaan samajhte hain bahaar ban ke kharaabon ko dilrubaai bhi de sar-e-salib khamoshi miraa tariq nahin zabaan di hai to ehsaas-e-nai-navaai bhi de main aisi sar-phiri duniyaa ko kyaa kahun 'qaisar' ki sang-e-raah bane ta’n-e-naa-rasaai bhi de"
"mujhe koi kyon sameTe miri raushni mein kyaa hai vo charaagh-e-rahguzar huun jo pas-e-sahar jalaa hai koi aisaa haadisa ho ki mujhi ko dafn kar de jo taras-taras ke barse vo ghubaar-e-dard kyaa hai tire zehn kaa dhuaan bhi na chhupaa sakaa vo manzar jise kaaT kar giraayaa vo shajar vahin khaDaa hai mujhe kyaa dikhaa rahe ho miraa daagh-e-naa-rasaai miri justuju se puchho koi raasta bachaa hai mujhe Dar hai aasmaan bhi kahin zad mein aa na jaae tah-e-khaak jo lahu hai vo zamin ki badduaa hai tire tesha-e-junun se hain lahu-lahu chaTaanein are kuchh to sochnaa thaa tah-e-sang aaina hai tujhe bhulne mein shaayad miri umr biit jaae tujhe bhulne se pahle mujhe khud ko bhulnaa hai na kahin kitaab mein huun na kisi ke dil mein 'qaisar' main khayaal-e-raaegaan huun mujhe kaun sochtaa hai"
"jahaan dhuaan thaa vahin raushni ke daagh bhi the mire makaan ke malbe mein kuchh charaagh bhi the zaraa si der mein mahfil ko kyaa huaa yaa-rab abhi to shaam bhi thi mai bhi thi ayaagh bhi the zamin bech ke rahte the aasmaanon par mire buzurgon mein vo saahib-e-faraagh bhi the khudaa bhi dekh ke chup thaa ki mere daaman mein jahaan gunaah vahin aansuon ke daagh bhi the jo ham jale to dil-o-jaan chamak uThe 'qaisar' bahut dinon se ye viraane be-charaagh bhi the"
"azaab saa hai dil-e-naa-muraad par kab se khaDaa huun main ravish-e-gard-baad par kab se kabhi miloge kahin to miloge jiite ji main ji rahaa huun isi e'timaad par kab se jo baaDh aai to be-chaara bah gayaa khud hi jo band baandh rahaa thaa fasaad par kab se vo zindagi jo kabhi muD ke dekhti bhi nahin main mar rahaa huun usi bad-nihaad par kab se mire qalam pe bhi shab-khun paD gayaa aakhir muhaasara thaa miri jaaedaad par kab se main raushni ko bhulaa duun to kyaa taajjub hai baras rahaa hai dhuaan meri yaad par kab se mire vajud mein kyaa shaahkaar hai pinhaan chaDhaa rahaa hai zamaana kharaad par kab se tamaam shahr-e-samaaat laraz uThaa 'qaisar' nikal paDi hai khamoshi jihaad par kab se"
"phir mire sar pe kaDi dhuup ki bauchhaar giri main jahaan jaa ke chhupaa thaa vahin divaar giri log qiston mein mujhe qatl kareinge shaayad sab se pahle miri aavaaz pe talvaar giri aur kuchh der miri aas na TuuTi hoti aakhiri mauj thi jab haath se patvaar giri agle vaqton mein suneinge dar-o-divaar mujhe meri har chikh mire ahd ke us paar giri khud ko ab gard ke tufaan se bachaao 'qaisar' tum bahut khush the ki ham-saae ki divaar giri"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"