Quote
"rah-e-gham mein zikr un kaa miraa khaas ham-safar thaa gharaz un ke hi karam se safar apnaa mukhtasar thaa ye sarisht thi jabin ki ise tum muaaf kar do na khayaal-e-dard-e-sar thaa na khayaal-e-sang-e-dar thaa gham-e-dil surur ban kar miri zindagi pe chhaayaa gham-e-dil ki khush-mazaaqi se main kitnaa baa-khabar thaa mire doston ne jaanchaa hai miri sukhan-vari ko na main saahaib-e-hunar thaa na main khaadim-e-hunar thaa kabhi zulmaton kaa shaidaa kabhi nuur kaa thaa joyaa kabhi shab-parast thaa main kabhi kushta-e-sahar thaa nai manzilon ke raste mire paaon chhu rahe hain main harif-e-rahguzar huun main harif-e-rahguzar thaa baDi muddaton mein aa kar ye khulaa hai mujh pe 'fitrat' ki bayaan-e-gham ki khaatir main zabaan-e-chashm-e-tar thaa"
