SHAWORDS

guzar gai hai mujhe reg-zaar karti hui — Khursheed Akbar

"guzar gai hai mujhe reg-zaar karti hui vo ek machhli samundar shikaar karti hui na jaane kitne bhanvar ko rulaa ke aae hai ye meri kashti-e-jaan khud ko paar karti hui vo ek saaat-e-maasum dil ki parvarda mukar gai hai magar e'tibaar karti hui junun ki aakhiri larzida muzmahil si raat jhapak gai hai zaraa intizaar karti hui ye kaisi khvaahish-e-naa-did hai doraahe par sahm gai hai abhi mujh pe vaar karti hui lipaT ke so gai aakhir sham-e-firaaq ke saath shab-e-siyaah sitaare shumaar karti hui safar mein kaisi haraarat qarib thi 'khurshid' utar gai hai mujhe dhaar-daar karti hui"
Urdu

گزر گئی ہے مجھے ریگ زار کرتی ہوئی وہ ایک مچھلی سمندر شکار کرتی ہوئی نہ جانے کتنے بھنور کو رلا کے آئے ہے یہ میری کشتیٔ جاں خود کو پار کرتی ہوئی وہ ایک ساعت معصوم دل کی پروردہ مکر گئی ہے مگر اعتبار کرتی ہوئی جنوں کی آخری لرزیدہ مضمحل سی رات جھپک گئی ہے ذرا انتظار کرتی ہوئی یہ کیسی خواہش نادید ہے دوراہے پر سہم گئی ہے ابھی مجھ پہ وار کرتی ہوئی لپٹ کے سو گئی آخر شمع فراق کے ساتھ شب سیاہ ستارے شمار کرتی ہوئی سفر میں کیسی حرارت قریب تھی خورشیدؔ اتر گئی ہے مجھے دھار دار کرتی ہوئی

Hindi

गुज़र गई है मुझे रेग-ज़ार करती हुई वो एक मछली समुंदर शिकार करती हुई न जाने कितने भँवर को रुला के आए है ये मेरी कश्ती-ए-जाँ ख़ुद को पार करती हुई वो एक साअ'त-ए-मासूम दिल की पर्वर्दा मुकर गई है मगर ए'तिबार करती हुई जुनूँ की आख़िरी लर्ज़ीदा मुज़्महिल सी रात झपक गई है ज़रा इंतिज़ार करती हुई ये कैसी ख़्वाहिश-ए-ना-दीद है दोराहे पर सहम गई है अभी मुझ पे वार करती हुई लिपट के सो गई आख़िर शम-ए-फ़िराक़ के साथ शब-ए-सियाह सितारे शुमार करती हुई सफ़र में कैसी हरारत क़रीब थी 'ख़ुर्शीद' उतर गई है मुझे धार-दार करती हुई

guzar ga.ī hai mujhe reg-zār kartī huī
Khursheed Akbar
Khursheed Akbar
Khursheed Akbar
poet69 quotes

More by Khursheed Akbar

View all →
Quote
"asbaab kahaan jaan-e-jahaan dekhte rahnaa khaali koi dam hai ye makaan dekhte rahnaa taa-umr tire shahr mein rahnaa bhi nahin hai milti hai kahaan jaa-e-amaan dekhte rahnaa palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat rakhtaa huun main khanjar pe zabaan dekhte rahnaa aansu mire bachchon ki tarah khuun se khelein kuchh khel nahin ghar kaa ziyaan dekhte rahnaa ik arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf phir qissa-e-aalam hai dhuaan dekhte rahnaa bauchhaar hai tiron ki vo rahvaar akelaa kitnaa hai shitaabi ye samaan dekhte rahnaa duniyaa kisi maqtal mein hai zindon ki gavaahi jaate hain kahaan piir o javaan dekhte rahnaa hogi kisi manjdhaar ke siine pe miri naav dariyaa hai mire saath ravaan dekhte rahnaa taarik ufuq par vo ajab shaan se niklaa 'khurshid' se raushan hai jahaan dekhte rahnaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"ek manzar iztiraabi ek manzar se ziyaada dil hai saahil dil safina dil samundar se ziyaada do jahaan ki neamaton ko do badan se zarb de kar ek lamha maangtaa huun banda-parvar se ziyaada ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochtaa huun phuul mein hoti nazaakat kaash patthar se ziyaada hasrat-e-shahr-e-nasibaan kyaa tujhe maalum bhi hai dasht hai aabaad yaani ishq ke ghar se ziyaada chashm-o-lab se pahle ik tishna taalluq chaahtaa huun aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada ek larzida fazaa hai aasmaan ki vusaton mein ik parinda uD rahaa hai apne shah-par se ziyaada bastiyon ke log saare barf hote jaa rahe hain be-rukhi achchhi nahin 'khurshid-akbar' se ziyaada"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"vo ik chaTaan jo paani hui saliqe se nadi kuchh aur siyaani hui saliqe se nigah ki dhaar mein khanjar kaa zaaiqa utraa dilon ki baat zabaani hui saliqe se ise bhi khaa gai tahzib dimakon ki tarah nai kitaab puraani hui saliqe se vo ek raat jo pahlu mein mutmain thi bahut qayaamaton ki nishaani hui saliqe se uThe jo shahr se sahraa pe vo baras bhi gae ghamon ki naql-e-makaani hui saliqe se mire lahu se hain gul-rang hasratein us ki sazaa ki shaam suhaani hui saliqe se kisi kaa qurb kabutar ke pankh jaisaa thaa badan ki aag bhi paani hui saliqe se"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"kisi bhi shahr kaa mausam suhaanaa chhoD dete hain garaan ho jaaein to ham aab-o-daana chhoD dete hain faqat ik bhuul ne maan baap ko alqat kiyaa ghar mein ki beTe jab siyaane huun kamaanaa chhoD dete hain miyaan biivi ke rishte e'timaadon ki amaanat hain magar ik aankh donon ghaaebaana chhoD dete hain unhein maalum hain majbur jebon ke taqaaze sab vo in mein khubsurat saa bahaana chhoD dete hain hamaari faaqa-masti aasmaan ke peT bharti hai ham apne paanv ke niche khazaana chhoD dete hain"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud