SHAWORDS

hai jo khaamosh but-e-hosh-rubaa mere baad — Fazal Husain Sabir

"hai jo khaamosh but-e-hosh-rubaa mere baad gul khilaaegaa koi aur nayaa mere baad tu jafaaon se jo badnaam kiye jaataa hai yaad aaegi tujhe meri vafaa mere baad koi shikva ho sitamgaar to zaahir kar de phir na karnaa tu kabhi koi gila mere baad ibrat-angez hai afsaana mire marne kaa ruk gae hain qadam-e-umr-e-baqaa mere baad zamzame khaana-e-sayyaad ke kyuun gunjte hain kyaa koi taaza giraftaar huaa mere baad sar ke bal ishq ki manzil ko kiyaa tai main ne nahin milte jo nishaan-e-kaf-e-paa mere baad 'saabir'-e-khasta ko har haal mein yaa rab rakh shaad kahin aisaa na ho ho sabr fanaa mere baad"
Urdu

ہے جو خاموش بت ہوش ربا میرے بعد گل کھلائے گا کوئی اور نیا میرے بعد تو جفاؤں سے جو بدنام کئے جاتا ہے یاد آئے گی تجھے میری وفا میرے بعد کوئی شکوہ ہو ستم گار تو ظاہر کر دے پھر نہ کرنا تو کبھی کوئی گلہ میرے بعد عبرت انگیز ہے افسانہ مرے مرنے کا رک گئے ہیں قدم عمر بقا میرے بعد زمزمے خانۂ صیاد کے کیوں گونجتے ہیں کیا کوئی تازہ گرفتار ہوا میرے بعد سر کے بل عشق کی منزل کو کیا طے میں نے نہیں ملتے جو نشان کف پا میرے بعد صابرؔ خستہ کو ہر حال میں یا رب رکھ شاد کہیں ایسا نہ ہو ہو صبر فنا میرے بعد

Hindi

है जो ख़ामोश बुत-ए-होश-रुबा मेरे बाद गुल खिलाएगा कोई और नया मेरे बाद तू जफ़ाओं से जो बदनाम किए जाता है याद आएगी तुझे मेरी वफ़ा मेरे बाद कोई शिकवा हो सितमगार तो ज़ाहिर कर दे फिर न करना तू कभी कोई गिला मेरे बाद इबरत-अंगेज़ है अफ़्साना मिरे मरने का रुक गए हैं क़दम-ए-उम्र-ए-बक़ा मेरे बाद ज़मज़मे ख़ाना-ए-सय्याद के क्यूँ गूँजते हैं क्या कोई ताज़ा गिरफ़्तार हुआ मेरे बाद सर के बल इश्क़ की मंज़िल को किया तय मैं ने नहीं मिलते जो निशान-ए-कफ़-ए-पा मेरे बाद 'साबिर'-ए-ख़स्ता को हर हाल में या रब रख शाद कहीं ऐसा न हो हो सब्र फ़ना मेरे बाद

hai jo ḳhāmosh but-e-hosh-rubā mere baad
Fazal Husain Sabir
Fazal Husain Sabir
Fazal Husain Sabir
poet64 quotes

More by Fazal Husain Sabir

View all →
Quote
"thi umid-e-mahr un ko mehrbaan samjhaa thaa main vo sitam Dhaaeinge mujh par ye kahaan samjhaa thaa main arsh se baDh chaDh ke un kaa aastaan samjhaa thaa main un ke kuche ki zamin ko aasmaan samjhaa thaa main kyon na ho dushvaar jaanaa manzil-e-maqsud tak thaa bagulaa jis ko gard-e-kaarvaan samjhaa thaa main iztiraab-e-dil ne ifshaa dard-e-ulfat kar diyaa haae naadaani ki us ko raazdaan samjhaa thaa main ho gai tum par tasadduq ho gai tum par nisaar varna apni zindagi ko raaegaan samjhaa thaa main vo na is ghar mein mile mujh ko na us ghar mein mile kaaba bhi but-khaana bhi un kaa makaan samjhaa thaa main aaj vo ek ek ki sau sau sunaane baiThe hain jin ko kal tak be-dahaan-o-be-zabaan samjhaa thaa main kah rahe the jab vo mere dard-e-dil kaa maajraa goyaa un ke munh mein apni hi zabaan samjhaa thaa main bahr-e-aalam mein thi meri zindagi misl-e-habaab haif kyon is ko hayaat-e-jaavidaan samjhaa thaa main vahshat-e-dil baDh gai kyaa khaak bahle dil yahaan gulshan-e-aafaaq ko baagh-e-jinaan samajhtaa thaa main khaal-e-ru-e-dost ki midhat na tum se ho sake shaairon mein tum ko 'saabir' nukta-daan samjhaa thaa main"
Fazal Husain SabirFazal Husain Sabir
Quote
"mashriq vatan rahaa kabhi maghrib vatan rahaa maanind-e-mehr-o-maah hamaaraa chalan rahaa masruf-e-sair-e-baagh vo gul-pairahan rahaa turfa hui ye baat chaman mein chaman rahaa ‘ishq-e-kamar ne kar diyaa maa'dum baa'd-e-marg kunj-e-lahad mein naa'sh se khaali kafan rahaa gesu rahe jo chaar-pahar ru-e-yaar par din bhar miri nigaah mein suraj gahan rahaa jhaanke kunvein hazaaron rahi tab' baavli jab tak khayaal mein tiraa chaah-e-zaqan rahaa 'saabir' ko tuti-e-shakaristaan kaheinge log yunhi jo lutf-e-'haaziq'-e-shirin-sukhan rahaa"
Fazal Husain SabirFazal Husain Sabir
Quote
"nairangiyaan falak ki hain mere hi ji ke saath gham bhi isi ke saath khushi bhi isi ke saath daaman chhuDaa ke jab vo chale be-rukhi ke saath hasrat lipaT ke rone lagi be-rukhi ke saath dil chiiz kyaa hai aur jigar ki hai asl kyaa maangein vo jaan bhi to main de duun khushi ke saath mujh se kabhi mile bhi to munh pher kar mile ki baat bhi unhon ne to ki be-rukhi ke saath har-vaqt saamnaa rahaa ranj-o-malaal kaa koi ghaDi na guzri hamaari khushi ke saath kyunkar umiid ho ki bar aaegaa muddaaa jab dekhtaa huun rahte hain vo muddai ke saath ghairon ko raahat aur musibat mili mujhe vo un ke ji ke saath hai ye mere ji ke saath dam bhar bhi gham-gusaar na ham ko milaa koi guzri tamaam umr yahaan be-kasi ke saath 'saabir' kaa hashr hashr mein parvardigaar ho ashaab-o-aal-e-paak-o-janaab-e-nabi ke saath"
Fazal Husain SabirFazal Husain Sabir
Quote
"kyaa khabar thi ye mohabbat kaa natija hogaa raat din dard-e-judaai mein taDapnaa hogaa yaar ki diid jo taqdir mein hogi hogi yaar kaa vasl muqaddar mein jo hogaa hogaa jaan to saikDon ki tu ne nikaali hogi magar armaan kisi kaa na nikaalaa hogaa mere rone pe khushaamad se ye kahnaa un kaa chup raho chup raho dekho koi rusvaa hogaa huun vo mai-nosh na chuTegi sar-e-mahshar bhi saaghar ik haath mein ik haath mein miinaa hogaa vaqt-e-rukhsat jo kahaa main ne miloge tum kab kis sharaarat se kahaa hashr mein milnaa hogaa tum jise apnaa samajhte ho use ai 'saabir' kab huaa hai vo kisi kaa jo tumhaaraa hogaa"
Fazal Husain SabirFazal Husain Sabir
Quote
"pher kar tegh-e-nazar tegh-e-jafaa se pahle maar Daalaa mujhe zaalim ne qazaa se pahle ab miraa khun-e-jigar haathon mein malte hain vo us se nafrat thi jinhein rang-e-hinaa se pahle zulf mein chhune na paayaa ki bandhe mere haath di sitamgar ne sazaa mujh ko khataa se pahle shauq-e-didaar ki tezi se main aksar har subh kucha-e-yaar mein jaataa huun sabaa se pahle aisi taasir pe sau jaan se sadme qurbaan mere ghar aa gae vo meri duaa se pahle paas 'saabir' kaa buto aaj na karnaa paDtaa duur rahte agar is mard-e-khudaa se pahle"
Fazal Husain SabirFazal Husain Sabir

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari