"yaad yuun hosh ganvaa baiThi hai jism se jaan judaa baiThi hai raah taknaa hai abas so jaao dhuup divaar pe aa baiThi hai aashiyaane kaa khudaa hi haafiz ghaat mein tez havaa baiThi hai dast-e-gul-chin se muravvat kaisi shaakh phulon ko ganvaa baiThi hai kaise aae kisi gulshan mein bahaar dasht mein aabla-paa baiThi hai shahr aaseb-zada lagtaa hai kuche kuche mein balaa baiThi hai chaar kamron ke makaan mein apne ik pachhal-paai bhi aa baiThi hai shaairi peT ki khaatir 'jaaved' biich baazaar ke aa baiThi hai"
ham kyaa kahein ki aabla-paai se kyaa milaa — Abdullah Javed
"ham kyaa kahein ki aabla-paai se kyaa milaa duniyaa mili kisi ko kisi ko khudaa milaa ham khud ko dekhne ke to laaeq na the magar har aaina hamaari taraf dekhtaa milaa aisaa thaa kaun ruuh ke andar jo dekhtaa har sath mein vagarna hamein jaanchtaa milaa insaan aur vaqt mein kab dosti rahi har lamha aadmi kaa lahu chaaTtaa milaa insaan samajh ke ham ne use dil mein rakh liyaa insaan ke ruup mein magar ik devtaa milaa dildaar bhi mile hamein par is ko kyaa karein koi khayaal saa to koi khvaab saa milaa"
ہم کیا کہیں کہ آبلہ پائی سے کیا ملا دنیا ملی کسی کو کسی کو خدا ملا ہم خود کو دیکھنے کے تو لائق نہ تھے مگر ہر آئنہ ہماری طرف دیکھتا ملا ایسا تھا کون روح کے اندر جو دیکھتا ہر سطح میں وگرنہ ہمیں جانچتا ملا انسان اور وقت میں کب دوستی رہی ہر لمحہ آدمی کا لہو چاٹتا ملا انساں سمجھ کے ہم نے اسے دل میں رکھ لیا انساں کے روپ میں مگر اک دیوتا ملا دل دار بھی ملے ہمیں پر اس کو کیا کریں کوئی خیال سا تو کوئی خواب سا ملا
हम क्या कहें कि आबला-पाई से क्या मिला दुनिया मिली किसी को किसी को ख़ुदा मिला हम ख़ुद को देखने के तो लाएक़ न थे मगर हर आइना हमारी तरफ़ देखता मिला ऐसा था कौन रूह के अंदर जो देखता हर सत्ह में वगर्ना हमें जाँचता मिला इंसान और वक़्त में कब दोस्ती रही हर लम्हा आदमी का लहू चाटता मिला इंसाँ समझ के हम ने उसे दिल में रख लिया इंसाँ के रूप में मगर इक देवता मिला दिलदार भी मिले हमें पर इस को क्या करें कोई ख़याल सा तो कोई ख़्वाब सा मिला

More by Abdullah Javed
View all →"duniyaa ne jab Daraayaa to Darne mein lag gayaa dil phir bhi pyaar aap se karne mein lag gayaa shaayad kahin se aap ki khushbu pahunch gai maahaul jaan o dil kaa sanvarne mein lag gayaa ik naqsh mauj-e-aab se barham huaa to kyaa ik naqsh zer-e-aab ubharne mein lag gayaa 'jaaved' nazd-e-aab-e-ravaan kah gayaa faqir dariyaa mein jo gayaa vo guzarne mein lag gayaa"
"har lamha marg-o-zist mein paikaar dekhnaa khinchi hui hai vaqt ne talvaar dekhnaa is dopahar ki dhuup mein saaya kahaan mile din Dhal chale to phir kahin divaar dekhnaa ab to safar ke sakht maraahil hain aur ham jab paas aae manzil-e-dildaar dekhnaa be-taabiyaan hon laakh magar us ke ru-ba-ru chhoDein na haath daaman-e-pindaar dekhnaa ai maslahat ki past zaminon ke baasiyo kitni bulandiyaan hain sar-e-daar dekhnaa zarra bhi aaftaab se kamtar nahin yahaan yaaro magar ba-dida-e-bedaar dekhnaa 'jaaved' ham hain aur hai ehsaas kaa khulus yaaron ke paas jhuuT ke tumaar dekhnaa"
"ik sail-e-be-panaah ki surat ravaan hai vaqt tinke samajh rahe hain ki vahm-o-gumaan hai vaqt parkho to jaise tegh-e-do-dam hai khinchi hui Taalo to ek uDtaa huaa saa dhuaan hai vaqt jo dil hadaf huaa ho vo shaayad bataa sake naavak bhi aap aap hi chaDhti kamaan hai vaqt ham us ke saath hain ki vo hai apne saath saath kis ko khabar ki ham hain ravaan yaa ravaan hai vaqt taarikh kyaa hai vaqt ke qadmon ki gard hai qaumon ke auj-o-past ki ik daastaan hai vaqt agle sukhan-varon ne jise aasmaan kahaa sach puchhiye to aaj vahi aasmaan hai vaqt hamdam nahin rafiq nahin ham-navaa nahin lekin hamaaraa sab se baDaa raazdaan hai vaqt kal kaaenaat apne jilau mein liye hue 'jaaved' hast-o-bud kaa ik kaarvaan hai vaqt"
"phuul ke laaeq fazaa rakhni hi thi Dar havaa se thaa havaa rakhni hi thi go mizaajan ham judaa the khalq se saath mein khalq-e-khudaa rakhni hi thi yuun to dil thaa ghar faqat allaah kaa but jo paale the to jaa rakhni hi thi tark karni thi har ik rasm-e-jahaan haan magar rasm-e-vafaa rakhni hi thi sirf kaabe par na thi hujjat tamaam baad-e-kaaba karbalaa rakhni hi thi"
"jaanib-e-dar dekhnaa achchhaa nahin raah shab bhar dekhnaa achchhaa nahin aashiqi ki sochnaa to Thiik hai aashiqi kar dekhnaa achchhaa nahin izn-e-jalva hai jhalak bhar ke liye aankh bhar kar dekhnaa achchhaa nahin ik tilismi shahr hai ye zindagi pichhe muD kar dekhnaa achchhaa nahin apne baahar dekh kar hans bol lein apne andar dekhnaa achchhaa nahin phir nai hijrat koi darpesh hai khvaab mein ghar dekhnaa achchhaa nahin sar badan par dekhiye 'jaaved' ji haath mein sar dekhnaa achchhaa nahin"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"