Quote
"qadam milaa ke tujhe kaamyaab main ne kiyaa ki tere khvaab ko taabir-e-khvaab main ne kiyaa zamaana tujh ko bahut pichhe chhoD saktaa thaa ye jaan le ki tujhe ham-rikaab main ne kiyaa andheraa phailaa to maayusiyon ne gher liyaa nayaa ujaalaa magar baazyaab main ne kiyaa miri vafaa ki badaulat mahak uThaa sahraa babul tu ne ugaayaa gulaab main ne kiyaa main jaantaa thaa ki fitrat tiri na badlegi raqaabaton se magar ijtinaab main ne kiyaa gale lagaa le jo dushman ko vo farishta hai yunhi to tujh se nahin ehtisaab main ne kiyaa usi ki baanhon mein TuuTe na saans ai 'muztar' jise masihaa samajh kar khitaab main ne kiyaa"
