"rok rakkhaa thaa jo in aankhon mein khaaraa paani meri divaaron mein dar aayaa vo saaraa paani ek dariyaa ko dikhaai thi kabhi pyaas apni phir nahin maangaa kabhi main ne dobaaraa paani apni aankhon se nichoDungaa kisi roz use kartaa rahtaa hai bahut mujh se kinaaraa paani ab ke baarish pe koi haq nahin insaanon kaa ab ke chiDiyon ke liye rab ne utaaraa paani main samundar se lagi shor-zamin jaisaa huun maartaa rahtaa hai mujh ko miraa khaaraa paani main ne in aankhon se kuchh moti chune the 'athar' mere honTon mein abhi jazb hai khaaraa paani"
harim-e-dil mein Thahar yaa saraa-e-jaan mein ruk — Mirza Athar Zia
"harim-e-dil mein Thahar yaa saraa-e-jaan mein ruk ye sab makaan hain tere kisi makaan mein ruk abhi main joD rahaa huun yaqin kaa pyaala tu aisaa kar ki abhi kaasa-e-gumaan mein ruk main tujh ko baandh luun apni ghazal ke sheron mein khayaal-e-yaar zaraa der mere dhyaan mein ruk bahut si qaus-e-quzah ban rahi hain aankhon mein ai haft-rang pari meri daastaan mein ruk main apne sheron kaa meaar kuchh buland karun mire huruf mein zam ho miri zabaan mein ruk"
حریم دل میں ٹھہر یا سرائے جان میں رک یہ سب مکان ہیں تیرے کسی مکان میں رک ابھی میں جوڑ رہا ہوں یقین کا پیالہ تو ایسا کر کہ ابھی کاسۂ گمان میں رک میں تجھ کو باندھ لوں اپنی غزل کے شعروں میں خیال یار ذرا دیر میرے دھیان میں رک بہت سی قوس قزح بن رہی ہیں آنکھوں میں اے ہفت رنگ پری میری داستان میں رک میں اپنے شعروں کا معیار کچھ بلند کروں مرے حروف میں ضم ہو مری زبان میں رک
हरीम-ए-दिल में ठहर या सरा-ए-जान में रुक ये सब मकान हैं तेरे किसी मकान में रुक अभी मैं जोड़ रहा हूँ यक़ीन का प्याला तू ऐसा कर कि अभी कासा-ए-गुमान में रुक मैं तुझ को बाँध लूँ अपनी ग़ज़ल के शेरों में ख़याल-ए-यार ज़रा देर मेरे ध्यान में रुक बहुत सी क़ौस-ए-क़ुज़ह बन रही हैं आँखों में ऐ हफ़्त-रंग परी मेरी दास्तान में रुक मैं अपने शेरों का मेआर कुछ बुलंद करूँ मिरे हुरूफ़ में ज़म हो मिरी ज़बान में रुक

More by Mirza Athar Zia
View all →"DhunDhtaa hai koi rastaa mire aaine mein qaid jo shakhs hai mujh saa mire aaine mein khinch le tujh ko na aaine ke andar kaa tilism ghaur se dekh na itnaa mire aaine mein us ke jaisaa huun main aaine ke baahar koi rah rahaa hai vo jo mujh saa mire aaine mein main hi aaina-e-duniyaa mein chalaa aayaa huun yaa chali aai hai duniyaa mire aaine mein aks kuchh aur nazar aataa hai meraa sab ko kis ne ab tak mujhe dekhaa mire aaine mein ru-ba-ru hotaa hai ik shakhs bhi mujh saa 'athar' main akelaa nahin hotaa mire aaine mein"
"tamaam galiyon mein maatam bapaa thaa jangal kaa yahaan zarur koi silsila thaa jangal kaa likhi thiin vahshatein sahraa ki meri aankhon mein kitaab-e-dil mein varaq khul rahaa thaa jangal kaa hamaare shahron mein ab roz hotaa rahtaa hai vo vaaqia jo kabhi vaaqia thaa jangal kaa vo is taraf ki pahaaDi pe miThe jharne the pa darmiyaan mein rasta ghanaa thaa jangal kaa mujh ek shahr mein aisaa bhi thaa udaas koi hamesha mujh se pata puchhtaa thaa jangal kaa kisi ke saath ne insaan banaa diyaa hai ise vagarna dil ye kabhi bheDiyaa thaa jangal kaa jahaan pe khatm thi insaaniyat ki had 'athar' vahaan pe dekhaa to ik raasta thaa jangal kaa"
"main apne jism ki divaar mein chunun khud ko phir apne-aap se baatein karun sunun khud ko tamaam shahr mein bikhraa paDaa hai meraa vajud koi bataae bhalaa kis tarah chunun khud ko nikal paDaa huun main ham-zaad DhunDne apnaa lagaa ke baiThaa huaa huun ajab junun khud ko mire vajud ke sab taane-baane uljhe hain kidhar kidhar se main suljhaaun aur banun khud ko vo chiiz kyaa hai ki jis ki talaash mein 'athar' udheD udheD ke apnaa badan dhunon khud ko"
"koi bagula raqsaan mere andar hai dil-sahraa mein jashn ke jaisaa manzar hai main ne kaise kaise moti DhunDe hain lekin tere aage sab kuchh patthar hai balcony par aao meri palkon ki dekho kitnaa gahraa niilaa samundar hai khaamoshi se maar na de ik din mujh ko shor saa ik jo meri zaat ke andar hai chaahe jo bhi khiDki mein kholun 'athar' sab ke baahar ek hi jaisaa manzar hai"
"har ghaDi barse hai baadal mujh mein kaun hai pyaas se paagal mujh mein tum ne ro-dho ke tasalli kar li phailtaa hai abhi kaajal mujh mein main adhuraa saa huun us ke andar aur vo shakhs mukammal mujh mein chup ki divaaron se sar phoDe hai jo ik aavaaz hai paagal mujh mein main tujhe sahl bahut lagtaa huun tu kabhi chaar qadam chal mujh mein muzhda aankhon ko ki phir se phuTi ik nae khvaab ki konpal mujh mein kaaTne hain kai ban-baas yahin ug rahaa hai jo ye jangal mujh mein aag mein jaltaa huun jab jab 'athar' aur aa jaataa hai kuchh bal mujh mein"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"