Quote
"rok rakkhaa thaa jo in aankhon mein khaaraa paani meri divaaron mein dar aayaa vo saaraa paani ek dariyaa ko dikhaai thi kabhi pyaas apni phir nahin maangaa kabhi main ne dobaaraa paani apni aankhon se nichoDungaa kisi roz use kartaa rahtaa hai bahut mujh se kinaaraa paani ab ke baarish pe koi haq nahin insaanon kaa ab ke chiDiyon ke liye rab ne utaaraa paani main samundar se lagi shor-zamin jaisaa huun maartaa rahtaa hai mujh ko miraa khaaraa paani main ne in aankhon se kuchh moti chune the 'athar' mere honTon mein abhi jazb hai khaaraa paani"
