SHAWORDS

is ki surat ko dekh kar bhule — Mirza Zahirddin Azfari

"is ki surat ko dekh kar bhule haae ham bhule sar-ba-sar bhule munh kaa miThaa thaa peT kaa khoTaa jhuTi miThi si baat par bhule dekho is meri yaad ko aur vo mujh pe kartaa nahin nazar bhule us ke ushshaaq ho gae vahshi sab ye khaana-kharaab ghar bhule jab faraamosh o yaad bhi khele ek idhar ham tum ik udhar bhule ham faraamosh ki faraamoshi aur tum yaad umr bhar bhule bhule-bhaTke se yaan tum aa nikle nashshe mein raah kuchh magar bhule nakhl-e-aah ek chhuT na phulegaa is ko phaltaa nahin samar bhule 'azfari' zor khaa gae dhokaa is ke zaahir pe tum aphar bhule"
Urdu

اس کی صورت کو دیکھ کر بھولے ہائے ہم بھولے سر بسر بھولے منہ کا میٹھا تھا پیٹ کا کھوٹا جھوٹی میٹھی سی بات پر بھولے دیکھو اس میری یاد کو اور وہ مجھ پہ کرتا نہیں نظر بھولے اس کے عشاق ہو گئے وحشی سب یہ خانہ خراب گھر بھولے جب فراموش و یاد بھی کھیلے ایک ادھر ہم تم اک ادھر بھولے ہم فراموش کی فراموشی اور تم یاد عمر بھر بھولے بھولے بھٹکے سے یاں تم آ نکلے نشہ میں راہ کچھ مگر بھولے نخل آہ ایک چھٹ نہ پھولے گا اس کو پھلتا نہیں ثمر بھولے اظفریؔ زور کھا گئے دھوکا اس کے ظاہر پہ تم اپھر بھولے

Hindi

इस की सूरत को देख कर भूले हाए हम भूले सर-ब-सर भूले मुँह का मीठा था पेट का खोटा झूटी मीठी सी बात पर भूले देखो इस मेरी याद को और वो मुझ पे करता नहीं नज़र भूले उस के उश्शाक़ हो गए वहशी सब ये ख़ाना-ख़राब घर भूले जब फ़रामोश ओ याद भी खेले एक इधर हम तुम इक उधर भूले हम फ़रामोश की फ़रामोशी और तुम याद उम्र भर भूले भूले-भटके से याँ तुम आ निकले नश्शे में राह कुछ मगर भूले नख़्ल-ए-आह एक छुट न फूलेगा इस को फलता नहीं समर भूले 'अज़फ़री' ज़ोर खा गए धोका इस के ज़ाहिर पे तुम अफर भूले

is kī sūrat ko dekh kar bhūle
M
Mirza Zahirddin Azfari
Mirza Zahirddin Azfari
poet59 quotes

More by Mirza Zahirddin Azfari

View all →
Quote
"dekh apne maailon ko ki hain dil jale paDe pazhmurda, dil-fasurda dar uupar Dhale paDe chakki chali hai charkh ki daanaao dekh lo daane bahut hain is mein to aise Dale paDe oho ji de hi Daalo nikaal aisi bhukh mein tum kun to hain samose bahut se tale paDe jab gir paDun huun paanv pa kahte ho munh ko pher tum chhoD sab ko pand hamaare bhale paDe juun jaanun be-kason ke taiin ab nibaah lo ham sab taraf se haar tumhaare gale paDe teraa ho bol-baalaa samajh-bujh sher kah dekh 'azfari' na baat hamaari tale paDe"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"shitaabi apne divaane ko kar band musalsal zulf se kar yaa nazar-band tiraa shaidaa na Thahraa jaan saa ik dam gayaa le kuut mein lohe ke kar band jo tujh par aur ko tarjih de dekh bas us andhe ki aankhein hain magar band taDaptaa be-qaraari aah-o-zaari huiin ye haalatein kyunkar satar-band hai sho'la aag kaa har aah ke saath ye dil hai yaa hai siine mein sharar band piyaare Dar khudaa se apni aankhein hamaari tarf se itni na kar band tujhe khurshid-ru, ji bhar ke dekhun hui jaati hai meri aankh par band 'azizo misr-e-dil ki raah hai duur rah-e-zulmaat mein higaa ye dar band jo chaahe do jahaan kaa kaam legaa hai baandhaa jis ne himmat kaa kamar-band raho Tuk 'azfari' ab chashm khole raheingi aankh phir shaam-o-sahar band"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"soch mein tere sunaa raat jo khaTkaa-paTkaa sar ko takiye se uThaa paTTi pe de de paTkaa tu ne gar kanghi jo kaakul ko pakaD kar jhaTkaa dil paDaa phirtaa hai sar maartaa bhulaa-bhaTkaa lakht-e-dil aa sar-e-mizhgaan pe laTakte hain paDe teri ulfat ne bhalaa saang dikhaayaa naT kaa jab na tab bose pe haTte ho ki dungaa na kabhi maan kar ye na miri jaan phir aisi haT kaa kyuun tiri chaal laTak dekh ke dil laTke hain kuchh to ham ko bhi bataa kis se ye sikhaa laTkaa naT-khaTi dekh tiri main to achambhe mein rahaa dil jhapaT haath se jhaT raag sunaayaa khaTkaa ghar base bol bhi kuchh kyaa hai kharaabi Thaani kab talak ham se phiregaa yunhi phaTkaa phaTkaa dil-e-gum-gashta ki har ik se main kartaa huun talaash chor jo thaa vahi aankhon ko churaa kar saTkaa"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"samajh ghar yaar kaa main shah-nashin-e-dil ko dhotaa huun kahein hain log divaane ki divaana huun rotaa huun bujhaae ashk ye khuun ke jo favvaare uchhalte hain mizha se yaar ke le nashtar aankhon mein chubhotaa huun madad ai khizr-e-girya gharq kariyo naav-e-dil aaj hi ye hai Dubvaane vaalaa main ise pahle Dubotaa huun but-e-sangin dil ki dekh tasvir aankhein pathraain ThiThuk huun naqsh-e-qaalin saa na rotaa huun na sotaa huun main ku-e-maikashaan-o-mahvashaan ke muttasil pahunchaa khabar-daar ai harifo ab havaas-o-hosh khotaa huun mabaadaa mere gul-ru kaa gul-e-rukhsaar murjhaave phuvaar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigotaa huun"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale jaan-saahab! bin tumhaare khaa ke gham ham mar chale sajde de naaghisniyaan karte hain tum sunte nahin jo na karni thi samaajat vo bhi kar aksar chale aadmi se but kahaae ab khudaai kaa hai azm Tuk karo insaaf apni had se tum baahar chale dekh leveinge guzaare ke taiin ab aur jaa dekhaa bhaari pathar us ko chuum sar se dhar chale aashiqon ne naam teraa le kiyaa qaalib tahi marte marte bhi to teraa hi ye sab dam bhar chale bazm mein tum khul rahe the baiThe dekh ham ko ruk gae gar yuun hi raazi ho lo ji uTh ham apne ghar chale kis ke aae kis se rang-raliyaan kiyaa pyaar aur chaah ishq ki badnaami pyaare rakh ke mujh uupar chale khizr ko shaabaash uktaayaa na ab tak aur ham zindagaani ek dam bhar ki bhi kar dubhar chale aah-o-afghaan to hamaaraa kar rahaa hai zor-shor juun bagulaa yaa ho aandhi yaa koi sarsar chale dekhein kis ki aah kaa us par asar ho 'azfari' ham to bhar maqdur, kar kitnaa hi shor-o-shar chale"
M
Mirza Zahirddin Azfari

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari