SHAWORDS

kab baiThte hain chain se iizaa uThaae bin — Jurat Qalandar Bakhsh

"kab baiThte hain chain se iizaa uThaae bin lagtaa nahin hai ji kahin laggaa lagaae bin jab tak na be-qaraar hon paDtaa nahin qaraar aataa nahin hai chain hamein tilmilaae bin be-aah-o-naala munh se nikalti nahin hai baat hairaan baiThe rahte hain aansu bahaae bin zindaan lage hai ghar jo kisi kaa na hon asiir aate nahin ba-khud kahin ham aae jaae bin divaane gar na hon to pari-ru na dekhein sair bigDe hai baat haal-e-pareshaan banaae bin jumbish na dast-o-paa mein ho be-shorish-e-junun afsurda-taba rahte hain dhumein machaae bin gar ho na dard-e-ishq to be-dard ham kahaaein kuchh lutf-e-guftugu hi nahin haae-vaae bin kyaa josh-e-taba ho na mai-e-ishq gar piyein kuchh kaifiyat nahin hai ye pyaala pilaae bin gar bar mein ho na koi to pahlu-tahi rahe kyaa baiThnaa hai zaanu se zaanu bhiDaae bin koi na de dikhaai to kyaa khaak dekhiye rahte asir-e-gham hain kisi ke bulaae bin afkaar saikDon hon agar ho na fikr-e-ishq vaarastagi kahaan hai kahein ji phansaae bin qaatil se gar na miliye to 'jurat' hamaari kyaa juun gul shagufta ho na koi zakhm khaae bin"
Urdu

کب بیٹھتے ہیں چین سے ایذا اٹھائے بن لگتا نہیں ہے جی کہیں لگا لگائے بن جب تک نہ بے قرار ہوں پڑتا نہیں قرار آتا نہیں ہے چین ہمیں تلملائے بن بے آہ و نالہ منہ سے نکلتی نہیں ہے بات حیران بیٹھے رہتے ہیں آنسو بہائے بن زنداں لگے ہے گھر جو کسی کا نہ ہوں اسیر آتے نہیں بہ خود کہیں ہم آئے جائے بن دیوانے گر نہ ہوں تو پری رو نہ دیکھیں سیر بگڑے ہے بات حال پریشاں بنائے بن جنبش نہ دست و پا میں ہو بے شورش جنوں افسردہ طبع رہتے ہیں دھومیں مچائے بن گر ہو نہ درد عشق تو بے درد ہم کہائیں کچھ لطف گفتگو ہی نہیں ہائے وائے بن کیا جوش طبع ہو نہ مئے عشق گر پئیں کچھ کیفیت نہیں ہے یہ پیالہ پلائے بن گر بر میں ہو نہ کوئی تو پہلو تہی رہے کیا بیٹھنا ہے زانو سے زانو بھڑائے بن کوئی نہ دے دکھائی تو کیا خاک دیکھیے رہتے اسیر غم ہیں کسی کے بلائے بن افکار سیکڑوں ہوں اگر ہو نہ فکر عشق وارستگی کہاں ہے کہیں جی پھنسائے بن قاتل سے گر نہ ملیے تو جرأتؔ ہماری کیا جوں گل شگفتہ ہو نہ کوئی زخم کھائے بن

Hindi

कब बैठते हैं चैन से ईज़ा उठाए बिन लगता नहीं है जी कहीं लग्गा लगाए बिन जब तक न बे-क़रार हों पड़ता नहीं क़रार आता नहीं है चैन हमें तिलमिलाए बिन बे-आह-ओ-नाला मुँह से निकलती नहीं है बात हैरान बैठे रहते हैं आँसू बहाए बिन ज़िंदाँ लगे है घर जो किसी का न हों असीर आते नहीं ब-ख़ुद कहीं हम आए जाए बिन दीवाने गर न हों तो परी-रू न देखें सैर बिगड़े है बात हाल-ए-परेशाँ बनाए बिन जुम्बिश न दस्त-ओ-पा में हो बे-शोरिश-ए-जुनूँ अफ़्सुर्दा-तब्अ रहते हैं धूमें मचाए बिन गर हो न दर्द-ए-इश्क़ तो बे-दर्द हम कहाएँ कुछ लुत्फ़-ए-गुफ़्तुगू ही नहीं हाए-वाए बिन क्या जोश-ए-तब्अ हो न मय-ए-इश्क़ गर पिएँ कुछ कैफ़ियत नहीं है ये प्याला पिलाए बिन गर बर में हो न कोई तो पहलू-तही रहे क्या बैठना है ज़ानू से ज़ानू भिड़ाए बिन कोई न दे दिखाई तो क्या ख़ाक देखिए रहते असीर-ए-ग़म हैं किसी के बुलाए बिन अफ़्कार सैकड़ों हों अगर हो न फ़िक्र-ए-इश्क़ वारस्तगी कहाँ है कहें जी फँसाए बिन क़ातिल से गर न मिलिए तो 'जुरअत' हमारी क्या जूँ गुल शगुफ़्ता हो न कोई ज़ख़्म खाए बिन

kab baiThte haiñ chain se iizā uThā.e bin
Jurat Qalandar Bakhsh
Jurat Qalandar Bakhsh
Jurat Qalandar Bakhsh
poet206 quotes

More by Jurat Qalandar Bakhsh

View all →
Quote
"parvaa nahin us ko aur mue ham kyuun aise pe mubtalaa hue ham go piise hi Daale juun hinaa vo par chhoDein na paanv bin chhue ham mizhgaan-e-daraaz us ki kar yaad siine pe gaDote hain sue ham rone se makaan-e-khaana bole bas laakh jagah se ab chue ham ik baazi-e-ishq se hain aari khele hain vagarna sab jue ham khubaan ko bin us ke dekhein kyaa khaak maaTi ke samajhte hain thue ham dam aankhon mein aa rahaa hai, lo jaan jald aao vagarna ab mue ham uTh jaane se us ke 'jurat' ai vaae maalum nahin ki kyaa hue ham"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"na garmi rakhe koi us se khudaayaa sharaarat se ji jis ne meraa jalaayaa na bechain ho koi ab us ki khaatir miraa chaahnaa jo na khaatir mein laayaa baham dekh do shakhs ho vo bhi muztar akelaa main jis ke liye tilmilaayaa phire justuju mein na ab koi us ki mujhe jis ne galiyon mein barson phiraayaa na bhule se yaad ab kare koi us ko miraa yaad karnaa bhi jis ne bhulaayaa na khush ho ab us paas baiThe se koi hamein kar ke aazurda jis ne uThaayaa kharidaar paidaa na ho koi us kaa ki dil bech kar ham ne dukh jis se paayaa tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne hamein kar ke hairaan na mukhDaa dikhaayaa lage laag us se kisi ki na yaa-rab hamaari lagi ko na jis ne bujhaayaa kahun daastaan main gar apni aur us ki to hairaan ho sun ke apnaa paraayaa ki pahle ki izhaar khud us ne ulfat na aayaa to sau baar ghar se bulaayaa jataain vo baatein jinhein sehr kahiye dikhaayaa vo aalam ki vahshi banaayaa rakhi be-takalluf mulaaqaat chande ba-mannat mujhe paas pahron biThaayaa kisi kaa na ik harf khaatir mein guzraa use garche logon ne kyaa kyaa paDhaayaa so ab vo jhalak tak dikhaataa nahin hai gayaa main jo ghar se to dar tak na aayaa lagaavaT ye kuchh kar ke phir kyaa ghazab hai miraa lag gayaa dil to parda lagaayaa ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah ki ye turfa mazmun tu ne sunaayaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"ham kab az-khud tire ghar yaar chale aate hain rah nahin sakte to naa-chaar chale aate hain le khabar us ki shitaabi se ki aashiq ko tire ghash pe ghash shokh sitamgaar chale aate hain main to hairaan huun matab hai ki dar-e-yaar hai ye yaan to bimaar pe bimaar chale aate hain ghar mein ghabraate hain be-yaar to ham vahshi se sar-barahna sar-e-baazaar chale aate hain khaDe rah sakte nahin dar pe to hairaan se vaan baiTh kar ham pas-e-divaar chale aate hain kis ke naalon ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kaah aaj uDte hue kohsaar chale aate hain"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"main kahaa ek adaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' dekh Tuk aankh churaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' sab se hanstaa thaa vo kal, ro ke jo main bol uThaa ham se bhi Tuk tu hansaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa dil ko main le jaaun to bolaa vo ki ''hun'' le chalaa jab main uThaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sabr o dil o diin ne vafaa ham se na ki be-vafaa tu to vafaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa jaam-e-mai piite ho to bolaa vo ki ''hun'' jab kahaa laaun chhupaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sohbat-e-aghyaar bari hai pyaare un se itnaa na milaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ishq ko izhaar karun bolaa ''hun'' jab kahaa kahtaa huun jaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa samjhe hai aazaar miraa bolaa ''hun'' jab kahaa kuchh to davaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ab tiri duuri se hai 'jurat' be-taab kuchh to kah paas balaa kar to lagaa kahne ''un-hun''"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"tasavvur baandhte hain us kaa jab vahshat ke maare ham to phir karte hain aap hi aap kyaa kyaa kuchh ishaare ham kahe hai yuun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare ham kai baar us ne dekhaa aaj chashm-e-qahr se ham ko sazaa-vaar-e-uqubat to hue ai bakht baare ham na maani dil ne apni aur na ham ne baat naaseh ki hamein kah kah ke haaraa vo use kah ke haare ham vo jab aaina dekhe hai to kyaa kyaa muskuraataa hai samajh kar ye ki yaani hain qayaamat pyaare pyaare ham milaa lutf-e-sukhan kyaa khaak ham ko us ki mahfil mein ki chup baiThe rahe juun naqsh-e-divaar ik kinaare ham hue hain chaahne vaale tumhaare saikDon paidaa ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yaan ab bichaare ham kisi mahvash ke gham ne kar diyaa naa-taaqat aisaa hi ki chhuTte dekhte hain aksar aankhon aage taare ham uThaa kar aankh to tum dekh lo yaan koi dekhe hai zaraa qurbaan hone do hamein sadqe tumhaare ham karein kyaa aah aur kis se kahein ham apni bechaini kahin chain ab tire haathon nahin paate hain pyaare ham qaraar ik jaa nazar aataa nahin hai be-qaraari mein gul-e-baazi ki surat phirte hain bas maare maare ham hamein kyaa khatra-e-jaan hai ki ham hain naam ko 'jurat' na hon phir kyuun ki maidaan-e-mohabbat mein utaare ham"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb