"parvaa nahin us ko aur mue ham kyuun aise pe mubtalaa hue ham go piise hi Daale juun hinaa vo par chhoDein na paanv bin chhue ham mizhgaan-e-daraaz us ki kar yaad siine pe gaDote hain sue ham rone se makaan-e-khaana bole bas laakh jagah se ab chue ham ik baazi-e-ishq se hain aari khele hain vagarna sab jue ham khubaan ko bin us ke dekhein kyaa khaak maaTi ke samajhte hain thue ham dam aankhon mein aa rahaa hai, lo jaan jald aao vagarna ab mue ham uTh jaane se us ke 'jurat' ai vaae maalum nahin ki kyaa hue ham"
na garmi rakhe koi us se khudaayaa — Jurat Qalandar Bakhsh
"na garmi rakhe koi us se khudaayaa sharaarat se ji jis ne meraa jalaayaa na bechain ho koi ab us ki khaatir miraa chaahnaa jo na khaatir mein laayaa baham dekh do shakhs ho vo bhi muztar akelaa main jis ke liye tilmilaayaa phire justuju mein na ab koi us ki mujhe jis ne galiyon mein barson phiraayaa na bhule se yaad ab kare koi us ko miraa yaad karnaa bhi jis ne bhulaayaa na khush ho ab us paas baiThe se koi hamein kar ke aazurda jis ne uThaayaa kharidaar paidaa na ho koi us kaa ki dil bech kar ham ne dukh jis se paayaa tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne hamein kar ke hairaan na mukhDaa dikhaayaa lage laag us se kisi ki na yaa-rab hamaari lagi ko na jis ne bujhaayaa kahun daastaan main gar apni aur us ki to hairaan ho sun ke apnaa paraayaa ki pahle ki izhaar khud us ne ulfat na aayaa to sau baar ghar se bulaayaa jataain vo baatein jinhein sehr kahiye dikhaayaa vo aalam ki vahshi banaayaa rakhi be-takalluf mulaaqaat chande ba-mannat mujhe paas pahron biThaayaa kisi kaa na ik harf khaatir mein guzraa use garche logon ne kyaa kyaa paDhaayaa so ab vo jhalak tak dikhaataa nahin hai gayaa main jo ghar se to dar tak na aayaa lagaavaT ye kuchh kar ke phir kyaa ghazab hai miraa lag gayaa dil to parda lagaayaa ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah ki ye turfa mazmun tu ne sunaayaa"
نہ گرمی رکھے کوئی اس سے خدایا شرارت سے جی جس نے میرا جلایا نہ بے چین ہو کوئی اب اس کی خاطر مرا چاہنا جو نہ خاطر میں لایا بہم دیکھ دو شخص ہو وہ بھی مضطر اکیلا میں جس کے لیے تلملایا پھرے جستجو میں نہ اب کوئی اس کی مجھے جس نے گلیوں میں برسوں پھرایا نہ بھولے سے یاد اب کرے کوئی اس کو مرا یاد کرنا بھی جس نے بھلایا نہ خوش ہو اب اس پاس بیٹھے سے کوئی ہمیں کر کے آزردہ جس نے اٹھایا خریدار پیدا نہ ہو کوئی اس کا کہ دل بیچ کر ہم نے دکھ جس سے پایا تحیر ہو دیکھ آئینہ اس کو جس نے ہمیں کر کے حیراں نہ مکھڑا دکھایا لگے لاگ اس سے کسی کی نہ یارب ہماری لگی کو نہ جس نے بجھایا کہوں داستاں میں گر اپنی اور اس کی تو حیران ہو سن کے اپنا پرایا کہ پہلے کی اظہار خود اس نے الفت نہ آیا تو سو بار گھر سے بلایا جتائیں وہ باتیں جنہیں سحر کہیے دکھایا وہ عالم کہ وحشی بنایا رکھی بے تکلف ملاقات چندے بہ منت مجھے پاس پہروں بٹھایا کسی کا نہ اک حرف خاطر میں گزرا اسے گرچہ لوگوں نے کیا کیا پڑھایا سو اب وہ جھلک تک دکھاتا نہیں ہے گیا میں جو گھر سے تو در تک نہ آیا لگاوٹ یہ کچھ کر کے پھر کیا غضب ہے مرا لگ گیا دل تو پردہ لگایا بہ تغییر بحر اور جرأتؔ غزل کہہ کہ یہ طرفہ مضمون تو نے سنایا
न गर्मी रखे कोई उस से ख़ुदाया शरारत से जी जिस ने मेरा जलाया न बेचैन हो कोई अब उस की ख़ातिर मिरा चाहना जो न ख़ातिर में लाया बहम देख दो शख़्स हो वो भी मुज़्तर अकेला मैं जिस के लिए तिलमिलाया फिरे जुस्तुजू में न अब कोई उस की मुझे जिस ने गलियों में बरसों फिराया न भूले से याद अब करे कोई उस को मिरा याद करना भी जिस ने भुलाया न ख़ुश हो अब उस पास बैठे से कोई हमें कर के आज़ुर्दा जिस ने उठाया ख़रीदार पैदा न हो कोई उस का कि दिल बेच कर हम ने दुख जिस से पाया तहय्युर हो देख आईना उस को जिस ने हमें कर के हैराँ न मुखड़ा दिखाया लगे लाग उस से किसी की न या-रब हमारी लगी को न जिस ने बुझाया कहूँ दास्ताँ मैं गर अपनी और उस की तो हैरान हो सुन के अपना पराया कि पहले की इज़हार ख़ुद उस ने उल्फ़त न आया तो सौ बार घर से बुलाया जताईं वो बातें जिन्हें सेहर कहिए दिखाया वो आलम कि वहशी बनाया रखी बे-तकल्लुफ़ मुलाक़ात चंदे ब-मन्नत मुझे पास पहरों बिठाया किसी का न इक हर्फ़ ख़ातिर में गुज़रा उसे गरचे लोगों ने क्या क्या पढ़ाया सो अब वो झलक तक दिखाता नहीं है गया मैं जो घर से तो दर तक न आया लगावट ये कुछ कर के फिर क्या ग़ज़ब है मिरा लग गया दिल तो पर्दा लगाया ब-तग़ईर-ए-बहर और 'जुरअत' ग़ज़ल कह कि ये तुर्फ़ा मज़मून तू ने सुनाया

More by Jurat Qalandar Bakhsh
View all →"ham kab az-khud tire ghar yaar chale aate hain rah nahin sakte to naa-chaar chale aate hain le khabar us ki shitaabi se ki aashiq ko tire ghash pe ghash shokh sitamgaar chale aate hain main to hairaan huun matab hai ki dar-e-yaar hai ye yaan to bimaar pe bimaar chale aate hain ghar mein ghabraate hain be-yaar to ham vahshi se sar-barahna sar-e-baazaar chale aate hain khaDe rah sakte nahin dar pe to hairaan se vaan baiTh kar ham pas-e-divaar chale aate hain kis ke naalon ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kaah aaj uDte hue kohsaar chale aate hain"
"main kahaa ek adaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' dekh Tuk aankh churaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' sab se hanstaa thaa vo kal, ro ke jo main bol uThaa ham se bhi Tuk tu hansaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa dil ko main le jaaun to bolaa vo ki ''hun'' le chalaa jab main uThaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sabr o dil o diin ne vafaa ham se na ki be-vafaa tu to vafaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa jaam-e-mai piite ho to bolaa vo ki ''hun'' jab kahaa laaun chhupaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sohbat-e-aghyaar bari hai pyaare un se itnaa na milaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ishq ko izhaar karun bolaa ''hun'' jab kahaa kahtaa huun jaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa samjhe hai aazaar miraa bolaa ''hun'' jab kahaa kuchh to davaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ab tiri duuri se hai 'jurat' be-taab kuchh to kah paas balaa kar to lagaa kahne ''un-hun''"
"tasavvur baandhte hain us kaa jab vahshat ke maare ham to phir karte hain aap hi aap kyaa kyaa kuchh ishaare ham kahe hai yuun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare ham kai baar us ne dekhaa aaj chashm-e-qahr se ham ko sazaa-vaar-e-uqubat to hue ai bakht baare ham na maani dil ne apni aur na ham ne baat naaseh ki hamein kah kah ke haaraa vo use kah ke haare ham vo jab aaina dekhe hai to kyaa kyaa muskuraataa hai samajh kar ye ki yaani hain qayaamat pyaare pyaare ham milaa lutf-e-sukhan kyaa khaak ham ko us ki mahfil mein ki chup baiThe rahe juun naqsh-e-divaar ik kinaare ham hue hain chaahne vaale tumhaare saikDon paidaa ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yaan ab bichaare ham kisi mahvash ke gham ne kar diyaa naa-taaqat aisaa hi ki chhuTte dekhte hain aksar aankhon aage taare ham uThaa kar aankh to tum dekh lo yaan koi dekhe hai zaraa qurbaan hone do hamein sadqe tumhaare ham karein kyaa aah aur kis se kahein ham apni bechaini kahin chain ab tire haathon nahin paate hain pyaare ham qaraar ik jaa nazar aataa nahin hai be-qaraari mein gul-e-baazi ki surat phirte hain bas maare maare ham hamein kyaa khatra-e-jaan hai ki ham hain naam ko 'jurat' na hon phir kyuun ki maidaan-e-mohabbat mein utaare ham"
"hai ye gul ki aur us ki aab mein farq jaise paani mein aur gulaab mein farq lab-e-khubaan kahaan vo laal kahaan hai bahut sharbat aur sharaab mein farq laakh gaali kahi hai kam mat de main ginungaa na ho hisaab mein farq zaahidaa zohd tu paDhaa, main ishq hai miri aur tiri kitaab mein farq ai sharaabi gazak to kartaa hai kuchh to kar dil mein aur kabaab mein farq aankh jab se khuli na dekhaa kuchh zindagaani mein aur hubaab mein farq kuchh nahin karte tum jo shoale mein aur is ru-e-pur-itaab mein farq hai zamin aasmaan kaa yaaro zarre mein aur aaftaab mein farq kyunki 'jurat' ho shaikh tujh saa ki hai piiri aur aalam-e-shabaab mein farq"
"hai teri hi kaaenaat ji mein ji tujh se hai teri zaat ji mein tu ne kiyaa qatl go ba-zillat samjhaa main ise najaat ji mein kyuun gham ye mujhi pe mehrbaan hai sab shaad hain zi-hayaat ji mein is tang-dahaan ke sukhan par yaan guzre hain so nikaat ji mein har-dam ba-hazaar jalva-e-nau dekhun huun tiri sifaat ji mein dam aankhon mein aa rahaa hai 'jurat' guzre hai ye aaj raat ji mein aa jaave to haal-e-dil sunaa lein rah jaae na ji ki baat ji mein"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"