"dil ke har juzv mein judaai hai kyaa balaa vasl ki samaai hai naa-rasaai sar-e-rasaai hai zoaf ki taaqat aazmaai hai jaam-o-minaa pe nuur barse hai kyaa ghaTaa mai-kade pe chhaai hai yuun to vo aalam-aashnaa hai magar ik mujhi se zaraa laDaai hai tu milaa ghair se ki khaak mein ham aaqibat har tarah safaai hai tum judaa ghair se hue the kab vaajibi taan-e-bevafaai hai ai 'qalaq' ham se to milaa kar yaar khaalis ulfat mein kyaa buraai hai"
kis qadar dilrubaa-numaa hai dil — Qalaq Merathi
"kis qadar dilrubaa-numaa hai dil khaana-e-ghair ho gayaa hai dil har ghaDi kyuun na zalzale mein rahe mashhad-e-hasrat-o-vafaa hai dil maut bhi sahl kuchh nahin apni kis liye taaqat-aazmaa hai dil maslahat is mein ho na koi kaash dushman-e-jaan ho gayaa hai dil sab se lag chalne ki hui hai kho kis qadar sarf-e-aashnaa hai dil shaikh-e-sanaan kaa yaad hai qissa sakht kaafir buri balaa hai dil apni haalat mein mubtalaa huun aap dil-rubaa jaan hai jaan-rubaa hai dil balbe vaamaandgi ki tez ravi jaise jaane pe aa gayaa hai dil kis jafaa-kaar ki vafaa hai jaan kis sitam-kash kaa mudda'aa hai dil teri ulfat kaa naqd daagh-e-jigar meri hasrat kaa khun-bahaa hai dil kahiye kis se lagaa liyaa laggaa ai 'qalaq' kyuun ke lag chalaa hai dil"
کس قدر دل ربا نما ہے دل خانۂ غیر ہو گیا ہے دل ہر گھڑی کیوں نہ زلزلے میں رہے مشہد حسرت و وفا ہے دل موت بھی سہل کچھ نہیں اپنی کس لیے طاقت آزما ہے دل مصلحت اس میں ہو نہ کوئی کاش دشمن جان ہو گیا ہے دل سب سے لگ چلنے کی ہوئی ہے کھو کس قدر صرف آشنا ہے دل شیخ صنعاں کا یاد ہے قصہ سخت کافر بری بلا ہے دل اپنی حالت میں مبتلا ہوں آپ دل ربا جاں ہے جاں ربا ہے دل بل بے واماندگی کی تیز روی جیسے جانے پہ آ گیا ہے دل کس جفا کار کی وفا ہے جاں کس ستم کش کا مدعا ہے دل تیری الفت کا نقد داغ جگر میری حسرت کا خوں بہا ہے دل کہیے کس سے لگا لیا لگا اے قلقؔ کیوں کے لگ چلا ہے دل
किस क़दर दिलरुबा-नुमा है दिल ख़ाना-ए-ग़ैर हो गया है दिल हर घड़ी क्यूँ न ज़लज़ले में रहे मशहद-ए-हसरत-ओ-वफ़ा है दिल मौत भी सहल कुछ नहीं अपनी किस लिए ताक़त-आज़मा है दिल मस्लहत इस में हो न कोई काश दुश्मन-ए-जान हो गया है दिल सब से लग चलने की हुई है खो किस क़दर सर्फ़-ए-आश्ना है दिल शैख़-ए-सनआँ का याद है क़िस्सा सख़्त काफ़िर बुरी बला है दिल अपनी हालत में मुब्तला हूँ आप दिल-रुबा जाँ है जाँ-रुबा है दिल बलबे वामांदगी की तेज़ रवी जैसे जाने पे आ गया है दिल किस जफ़ा-कार की वफ़ा है जाँ किस सितम-कश का मुद्द'आ है दिल तेरी उल्फ़त का नक़्द दाग़-ए-जिगर मेरी हसरत का ख़ूँ-बहा है दिल कहिए किस से लगा लिया लग्गा ऐ 'क़लक़' क्यूँ के लग चला है दिल
More by Qalaq Merathi
View all →"tere vaade kaa ikhtitaam nahin ki qayaamat pe bhi qayaam nahin bevafaai tumhaari aam hui ab kisi ko kisi se kaam nahin kis liye daava-e-zulekhaai ghair yusuf nahin ghulaam nahin vasl ke baad hijr kaa kyaa kaam duur gardun kaa intizaam nahin kaun suntaa hai naala-o-fariyaad charkh ko khauf-e-intiqaam nahin khaal-e-lab dekh kar huaa maalum koi daana baghair-e-daam nahin aap mein kyuun ki aauun jab ki tu aae khalvat-e-khaas bazm-e-aam nahin naala kartaa huun log sunte hain aap se meraa kuchh kalaam nahin jis jagah hai vahaan bhi hai bohtaan ki kisi jaa tiraa maqaam nahin roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan shaam par bhi to ikhtitaam nahin hai khudaa hi 'qalaq' jo aaj bujhe subh hote nahin ki shaam nahin"
"na pahunche haath jis kaa zoaf se taa-zist daaman tak suraagh-e-khun ab is kaa mar ke jaae khaak gardan tak sar-o-saamaan se hain ye be-sar-o-saamaaniyaan apni ki hai josh-e-junun meraa garebaan-gir daaman tak na ki ghaflat se qadr-e-dil abas ilzaam dilbar par mataa-e-khufta ke jaane ke sau raste hain rahzan tak ye hiila bhi nahin kam maut ke aane ko gar aae na aae jo ki baalin par vo kyaa jaaegaa madfan tak kuchh aisaa ikhtilaat aapas se uTThaa is zamaane mein na qaatil aae hai mujh tak na jaae maut dushman tak miri mehnat kaa zaaea honaa hi to ik qayaamat hai ki baad-o-barq aafat mein raheinge mere khirman tak vafaa ki nazr hai meri hi jaan-e-hasrat-aaluda asar ki qadr hai meri hi aah-e-qaafila-zan tak ghubaar-e-dil kisi Dhab se na qaatil kaa huaa saabit ki saaf us ki havaa ki tegh mujh se mere kushtan tak main apne hausle se aur vo apne jaame se baahar na khanjar kaa use khaTkaa na yaan sarfa hai gardan tak nahin hotaa rafu chaak-e-garebaan-e-fanaa hargiz mangaain charkh-e-chaarum se agar iisaa ki sozan tak giraan-jaani chaman mein bhi nishaana ho gai aakhir ki baar-e-dosh-e-gulban hai miri shaakh-e-nasheman tak 'qalaq' martaa hai aur hotaa hai maatam kaa ye hangaama magar ronaa hai is kaa tu na aayaa bazm-e-shevan tak"
"vahi vaada hai vahi aarzu vahi apni umr-e-tamaam hai vahi chashm hai vahi raah hai vahi subh hai vahi shaam hai vahi khasta-haal kharaab hai vahi khvaab kushta-e-khvaab hai vahi zindagi ko javaab hai na salaam hai na payaam hai vahi josh naala-o-aah mein vahi shoala jaan-e-tabaah mein vahi barq-e-yaas nigaah mein jo khayaal hai so vo khaam hai vahi khvaab-o-khur ki talaash hai vahi jaan-o-dil mein kharaash hai vahi ranj-e-ghair-e-maaash hai mujhe zindagi bhi haraam hai vahi hijr dushman-e-vasl hai vahi marg-o-zist mein fasl hai vahi apne shaghl se shaghl hai vahi apne kaam se kaam hai vahi shaq jigar na siyo siyo vahi ziist hai na jiyo jiyo vahi khun-e-dil na piyo piyo vahi baada hai vahi jaam hai vahi shauq-e-raah hai rahnumaa vahi jalva-gaah hai rukh-kushaa vahi bazm-e-naaz hai jaa-ba-jaa vahi har qadam pe maqaam hai vahi nim-jaan dam-e-vaapsin vahi naala-kash sukhan-e-hazin vahi yaas-e-zist hai dil-nashin ki zabaan pe aap kaa naam hai vahi ranj hai to yuun hi sahi vo 'qalaq' hi thaa ki yuun hi nibhi miri aap ko bhi hai bandagi miraa ishq ko bhi salaam hai"
"pi bhi ai maaya-e-ashabaab sharaab garm-joshi se hai kabaab sharaab maryami uD gai masihaa ki lab-e-naazuk pe hai sharaab sharaab us se ham jaa bhiDe adu ke ghar hai paDi khaanumaan-kharaab sharaab kyuun ki mutlaq haraam hi kahiye pijiegaa milaa ke aab sharaab bahr-e-har-zarf-e-imtihaan saaghar har tamannaa kaa intikhaab sharaab baad-azin mohtasib qasam le le tauba kartaa huun laa shitaab sharaab zaaea auqaat ko nahin karte piite hain vaqt-e-maahtaab sharaab sakht maatam hai ai shabaab tiraa ki rulaati hai khun-e-naab sharaab mohtasib us kaa khuun hai kis par jo hai piitaa bajaae aab sharaab mushaf-o-khirqa bechte hain ham ho gai jaan ko azaab sharaab us ki bakhshish hai be-hisaab agar ham bhi piite hain be-hisaab sharaab har ghaDi zikr-e-mai hai ai vaaiz ho gai teri to kitaab sharaab ai 'qalaq' mai-kade mein sajde kyuun kaun degaa pa-e-savaab sharaab"
"duuri mein kyuun ki ho na tamannaa huzur ki manzil ko meri qurb se nisbat hai duur ki furqat ne us ki vasl ki tashvish duur ki taskin nahin hai yuun bhi dil-e-naa-subur ki muusaa ke sar pe paanv hai ahl-e-nigaah kaa us ki gali mein khaak uDi koh-e-tur ki kahtaa hai anjuman ko tiri khuld muddai is bul-havas ke dil mein tamannaa hai huur ki vaaiz ne mai-kade ko jo dekhaa to jal gayaa phailaa gayaa charaand sharaab-e-tahur ki muusaa ko kyuun na mauj-e-tajalli dhakel de jalve se us ke gul hui mashal shuur ki arbaab-e-vaqt jaante hain rozgaar ne ki sahv se vafaa to talaafi zarur ki rusvaaiyon kaa hausla ghaT ghaT ke baDh gayaa saamaan hai khaamushi miri shor-e-nushur ki mel aasmaan kaa su-e-zamin be-sabab nahin zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghurur ki us se na miliye jis se mile dil tamaam umr sujhi hamein bhi hijr mein aakhir ko duur ki paamaal kar rahaa hai siyah-roziyon kaa josh miTTi kharaab hai mire kalabe mein nuur ki kyaa ek qurb-e-ghair kaa sadma na pochhiye hain dil ke aas paas balaa duur duur ki mazmun mire uDaae 'qalaq' sab ne is qadar suntaa huun main taraana zabaani tuyur ki"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"