"talaash dariyaa ki thi ba-zaahir saraab dekhaa vo kaun aankhein thiin jin ki khaatir ye khvaab dekhaa jo rut bhi aae hamin se girya kaa rizq maange hamaari surat kise zamin intikhaab dekhaa nadaamatein bahte aansuon se sharh na paaein safina apni duaa kaa maqtal rikaab dekhaa barasti aankhon se sukhe taalaab bhar na paaein ye gham kaa dariyaa misaal-e-qarz-e-sahaab dekhaa kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyaan khileingi vo bastiyaan umr bhar jinhein zer-e-aab dekhaa abhi to bakhiya-gari ko sozan hi kaam aae hinaa ki dahliz pe tulu-e-hijaab dekhaa yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi vufur-e-dariyaa bhi misl-e-dariyaa-e-khvaab dekhaa jataa gayaa saari aadatein bas gale se lag ke us ek anjum ko chaandni ke hisaab dekhaa khayaal us ke badan ki galiyon ko DhunDtaa hai vo jis ko dekhaa to hairaton ko naqaab dekhaa"
kuchh din to malaal us kaa haq thaa — Kishwar Naheed
"kuchh din to malaal us kaa haq thaa bichhDaa to khayaal us kaa haq thaa vo raat bhi din si taaza rakhtaa shabnam kaa jamaal us kaa haq thaa vo tarz-e-bayaan mein chaandni thaa taaron se visaal us kaa haq thaa thaa us kaa khiraam mauj-e-dariyaa lahron kaa jalaal us kaa haq thaa baarish kaa badan thaa us kaa hansnaa ghunche kaa khisaal us kaa haq thaa rakhtaa thaa sanbhaal shisha-e-jaan tajsim-e-kamaal us kaa haq thaa baadal ki misaal us ki khu thi taabir-e-hilaal us kaa haq thaa ujlaa thaa chanbeliyon ke jaisaa yusuf saa jamaal us kaa haq thaa"
کچھ دن تو ملال اس کا حق تھا بچھڑا تو خیال اس کا حق تھا وہ رات بھی دن سی تازہ رکھتا شبنم کا جمال اس کا حق تھا وہ طرز بیاں میں چاندنی تھا تاروں سے وصال اس کا حق تھا تھا اس کا خرام موج دریا لہروں کا جلال اس کا حق تھا بارش کا بدن تھا اس کا ہنسنا غنچے کا خصال اس کا حق تھا رکھتا تھا سنبھال شیشۂ جاں تجسیم کمال اس کا حق تھا بادل کی مثال اس کی خو تھی تعبیر ہلال اس کا حق تھا اجلا تھا چنبیلیوں کے جیسا یوسف سا جمال اس کا حق تھا
कुछ दिन तो मलाल उस का हक़ था बिछड़ा तो ख़याल उस का हक़ था वो रात भी दिन सी ताज़ा रखता शबनम का जमाल उस का हक़ था वो तर्ज़-ए-बयाँ में चाँदनी था तारों से विसाल उस का हक़ था था उस का ख़िराम मौज-ए-दरिया लहरों का जलाल उस का हक़ था बारिश का बदन था उस का हँसना ग़ुंचे का ख़िसाल उस का हक़ था रखता था सँभाल शीशा-ए-जाँ तज्सीम-ए-कमाल उस का हक़ था बादल की मिसाल उस की ख़ू थी ताबीर-ए-हिलाल उस का हक़ था उजला था चँबेलियों के जैसा यूसुफ़ सा जमाल उस का हक़ था

More by Kishwar Naheed
View all →"main tasht-e-khvaab liye haath mein guzar gai huun samajh sakaa na vo jis ke liye main ghar gai huun bahut ajab thi samundar se guftugu lekin pahan ke pyaas palaTne kaa sabr kar gai huun miraa mizaaj rahaa dasht-aashnaa shab bhar ki din mein bastiyaan dekhin to jaise Dar gai huun husul-e-khvaahish-e-naayaab garche naa-mumkin kisi ke vaada-e-be-aab pe Thahar gai huun bahut nihaal hai dil aankh mein hai sarmasti lage ki shahar-e-khush-anjaam se guzar gai huun balaa se bhuul gae vo jo aashnaa the kabhi main aaj apne shabistaan mein be-khatar gai huun khushaa hatheli pe yaadon kaa qaafila Thahraa khushaa ki yaad thi aisi khushi se mar gai huun bahut aziiz thaa aashuftagi kaa pairaahan ye jaan kar dam-e-aazurdagi bikhar gai huun saraab-aasaa rahaa vo taalluq-e-khubaan palaT palaT ke bulaataa hai phir bhi Dar gai huun"
"apne lahu se naam likhaa ghair kaa bhi dekh zinda hai to shaqaavat-e-dasht-e-balaa bhi dekh aankhon ke aainon kaa to paani utar gayaa ab jism chob-e-khushk hai ye saaneha bhi dekh hoti hai zindagi ki haraarat ragon mein sard sukhe hue badan pe ye chamDaa kasaa bhi dekh betaabiyon ko siine ke andar sameT le fitne ko apni had se musalsal baDhaa bhi dekh har zarra ibraton ke samundar ki shakl hai sahraa-navard-e-shauq kabhi naqsh-e-paa bhi dekh pahchaan apni ho to mile manzil-e-muraad 'naahid' gaahe gaahe sahi aaina bhi dekh"
"kabhi to aa miri aankhon ki raushni ban kar zamin-e-khushk ko sairaab kar nami ban kar rachaa huaa hai tiri kam-nigaahiyon kaa karam nashe ki tarah mire dil mein sarkhushi ban kar kabhi to aa tapish-e-jaan-gusal hi dene ko kabhi guzar inhi raahon se ajnabi ban kar khushaa ki aur milaa gham kaa taaziyaana hamein khushaa vo dard jo chhaayaa hai naghmagi ban kar tumhein aziiz nahin hai to ho aziiz kise na mil sakegaa koi vajh-e-zindagi ban kar palaT ke dekh na us ko vo khaak kar degaa tire ghurur ko zahraab ki ani ban kar hui na us se vafaa tum se kyaa huaa 'naahid' abhi talak jiye jaati ho baaoli ban kar"
"bigDi baat banaanaa mushkil bigDi baat banaae kaun kunj-e-tamannaa viraana hai aa kar phuul khilaae kaun tan ki daulat man ki daulat sab khvaabon ki baatein hain nau man tel na ho to ghar mein raadhaa ko nachvaae kaun apnaa gham ab khud hi uThaa le varna rusvaai hogi teraa bhed chhupaa kar dil mein naahaq bojh uThaae kaun chalti gaaDi naam kaa rishta kyaa mohan kyaa raadhaa aaj ban ke sanvar ke raas rachaa ke mohan aaj manaae kaun saagar paar ki khabrein dekhe ham-saae kaa pataa nahin aaj kaa insaan aalam faazil us ko ab samjhaae kaun naa-ummidi naam-e-tamannaa apnaa muqaddar hijr-e-musalsal dard ke khaaristaan mein aa ke daaman-e-dil uljhaae kaun raat bhi kaali chaadar oDhe aa pahunchi hai ziine mein mehndi lagaae baiThi soche laT uljhi suljhaae kaun"
"ye dasht-e-faraamoshi Thaharne nahin detaa lekin dar-e-khvaahish ko bhi khulne nahin detaa ye rasm hai divaar-o-dar-e-girya ki lekin daryuza-gar-e-khvaab to rone nahin detaa aashob hai aisaa ki saraasima hai vahshat ye ijz-e-bayaan zakhm bhi dhone nahin detaa haan manzil-e-ummid bhi nazdik thi lekin gham-khaana-e-jaanaanaan bahalne nahin detaa aankhon mein vahi ranj-e-asiri hai musallat jo hashr bapaa honaa thaa hone nahin detaa be-naam rahi khvaahish-e-didaar hamesha shabnam ki tarah vo mujhe hansne nahin detaa aangan mein lahu dekh ke roti nahin aankhein ye dil to sulagtaa hai pa jalne nahin detaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"