SHAWORDS

kuchh dinon apne ghar rahaa huun main — Anwar Shuoor

HomeAnwar ShuoorGhazal
"kuchh dinon apne ghar rahaa huun main aur phir dar-ba-dar rahaa huun main dusron ki khabar to kyaa letaa khud se bhi be-khabar rahaa huun main vaqt go ham-safar na thaa meraa vaqt kaa ham-safar rahaa huun main zina-e-zaat kaa safar aur raat dhire dhire utar rahaa huun main yak-ba-yak kis tarah badal jaaun rafta rafta sudhar rahaa huun main tu bhi dekhe to ajnabi jaane ab ke vo svaang bhar rahaa huun main be-haqiqat hai shor-e-shahr ki ab gungunaataa guzar rahaa huun main aag hai aur sulag rahi hai hayaat raakh huun aur bikhar rahaa huun main"
Urdu

کچھ دنوں اپنے گھر رہا ہوں میں اور پھر در بہ در رہا ہوں میں دوسروں کی خبر تو کیا لیتا خود سے بھی بے خبر رہا ہوں میں وقت گو ہم سفر نہ تھا میرا وقت کا ہم سفر رہا ہوں میں زینۂ ذات کا سفر اور رات دھیرے دھیرے اتر رہا ہوں میں یک بہ یک کس طرح بدل جاؤں رفتہ رفتہ سدھر رہا ہوں میں تو بھی دیکھے تو اجنبی جانے اب کے وہ سوانگ بھر رہا ہوں میں بے حقیقت ہے شور شہر کہ اب گنگناتا گزر رہا ہوں میں آگ ہے اور سلگ رہی ہے حیات راکھ ہوں اور بکھر رہا ہوں میں

Hindi

कुछ दिनों अपने घर रहा हूँ मैं और फिर दर-ब-दर रहा हूँ मैं दूसरों की ख़बर तो क्या लेता ख़ुद से भी बे-ख़बर रहा हूँ मैं वक़्त गो हम-सफ़र न था मेरा वक़्त का हम-सफ़र रहा हूँ मैं ज़ीना-ए-ज़ात का सफ़र और रात धीरे धीरे उतर रहा हूँ मैं यक-ब-यक किस तरह बदल जाऊँ रफ़्ता रफ़्ता सुधर रहा हूँ मैं तू भी देखे तो अजनबी जाने अब के वो स्वाँग भर रहा हूँ मैं बे-हक़ीक़त है शोर-ए-शहर कि अब गुनगुनाता गुज़र रहा हूँ मैं आग है और सुलग रही है हयात राख हूँ और बिखर रहा हूँ मैं

kuchh dinoñ apne ghar rahā huuñ maiñ
Anwar Shuoor
Anwar Shuoor
Anwar Shuoor
poet214 quotes

More by Anwar Shuoor

View all →
Quote
"yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimaagh se jo sochtaa rahegaa vo ghabraae jaaegaa itnaa bhi sabr-o-shukr kaa qaail nahin ki dil har kaifiyat mein aap ke gun gaae jaaegaa aataa hai rahm naaseh-e-mushfiq ke haal par be-chaara 'umr-bhar hamein samjhaae jaaegaa nazrein haTaa haTaa ke na kyon guftugu karein ham dekhe jaaeinge to vo sharmaae jaaegaa thoDi 'sha'ur' aur chaDhaa le to har taraf saaghar nachaae jaaegaa chhalkaae jaaegaa"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho baaz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahtaa hi na ho mujh se katraa ke bhalaa kyuun jaataa shaayad us ne mujhe dekhaa hi na ho ye samajhtaa hai har aane vaalaa main na aauun to tamaashaa hi na ho yuun bhaTakne pe huun qaane jaise raaston mein koi dariyaa hi na ho raat har chaap pe aataa thaa khayaal uTh ke dekhun koi aayaa hi na ho kaise chhoDun dar-o-divaar apne kyaa khabar lauT ke aanaa hi na ho hain sabhi ghair to apnaa maskan shahr kyuun ho koi sahraa hi na ho yuun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kyaa kahun jab koi suntaa hi na ho"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchaai hoti hai nihaan har baat mein kahne vaale Thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke honT kaaghaz par banaa detaa huun main khud banaa leti hai honTon par hansi apni jagah dost kahtaa huun tumhein shaaer nahin kahtaa 'shuur' dosti apni jagah hai shaaeri apni jagah"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud