"kisi bhi shahr kaa mausam suhaanaa chhoD dete hain garaan ho jaaein to ham aab-o-daana chhoD dete hain faqat ik bhuul ne maan baap ko alqat kiyaa ghar mein ki beTe jab siyaane huun kamaanaa chhoD dete hain miyaan biivi ke rishte e'timaadon ki amaanat hain magar ik aankh donon ghaaebaana chhoD dete hain unhein maalum hain majbur jebon ke taqaaze sab vo in mein khubsurat saa bahaana chhoD dete hain hamaari faaqa-masti aasmaan ke peT bharti hai ham apne paanv ke niche khazaana chhoD dete hain"
lab-e-dariyaa muraadon kaa makaan kaisaa rahaa hogaa — Khursheed Akbar
"lab-e-dariyaa muraadon kaa makaan kaisaa rahaa hogaa ghani palkon tale aab-e-ravaan kaisaa rahaa hogaa dahakti aag mein vo saaebaan kaisaa rahaa hogaa hamaare sar ke uupar aasmaan kaisaa rahaa hogaa bahut bechain hai khaak-e-bayaabaan sar paTakti hai divaana shahr bhar mein be-amaan kaisaa rahaa hogaa sitaare bujh gae honge zaminein jal rahi hongi phir is ke baad sair-e-laa-makaan kaisaa rahaa hogaa zamin ki be-panaahi dekhtaa huun yaad kartaa huun falak pahlu mein tum saa mehrbaan kaisaa rahaa hogaa"
لب دریا مرادوں کا مکاں کیسا رہا ہوگا گھنی پلکوں تلے آب رواں کیسا رہا ہوگا دہکتی آگ میں وہ سائباں کیسا رہا ہوگا ہمارے سر کے اوپر آسماں کیسا رہا ہوگا بہت بے چین ہے خاک بیاباں سر پٹکتی ہے دوانہ شہر بھر میں بے اماں کیسا رہا ہوگا ستارے بجھ گئے ہوں گے زمینیں جل رہی ہوں گی پھر اس کے بعد سیر لا مکاں کیسا رہا ہوگا زمیں کی بے پناہی دیکھتا ہوں یاد کرتا ہوں فلک پہلو میں تم سا مہرباں کیسا رہا ہوگا
लब-ए-दरिया मुरादों का मकाँ कैसा रहा होगा घनी पलकों तले आब-ए-रवाँ कैसा रहा होगा दहकती आग में वो साएबाँ कैसा रहा होगा हमारे सर के ऊपर आसमाँ कैसा रहा होगा बहुत बेचैन है ख़ाक-ए-बयाबाँ सर पटकती है दिवाना शहर भर में बे-अमाँ कैसा रहा होगा सितारे बुझ गए होंगे ज़मीनें जल रही होंगी फिर इस के ब'अद सैर-ए-ला-मकाँ कैसा रहा होगा ज़मीं की बे-पनाही देखता हूँ याद करता हूँ फ़लक पहलू में तुम सा मेहरबाँ कैसा रहा होगा

More by Khursheed Akbar
View all →"din bahut saffaak niklaa raat sab dukh sah gai daant mein ungli dabaae shaam tanhaa rah gai sang-rezon ki tarah bikhri paDi hain khvaahishein dekhte hi dekhte kis ki haveli Dah gai sandali khvaabon mein lipTe the hazaaron azhdahe aur phir taasir jism-o-jaan mein tah-dar-tah gai be-muravvat saaaton ko roiye kyuun umr bhar ek shai aankhon mein jo rahti thi kab ki bah gai ghar ki divaaron pe sabza bin ke ugnaa thaa mujhe ik havaa sahraa se aai kaan mein kuchh kah gai"
"jism ke martabaan se aage zaaiqe se zabaan se aage tiir saare kamaan se aage ik khalish aur jaan se aage ik parinda lahu mein tar goyaa ik tasavvur uDaan se aage ek basti yaqin-faroshon ki ik ilaaqa gumaan se aage ek fariyaad naa-rasaai ki ik zamin aasmaan se aage ik safar aur hai tah-e-girdaab ik junun baadbaan se aage ek 'khurshid' ki shahaadat par shahr-e-zulmat bayaan se aage"
"asbaab kahaan jaan-e-jahaan dekhte rahnaa khaali koi dam hai ye makaan dekhte rahnaa taa-umr tire shahr mein rahnaa bhi nahin hai milti hai kahaan jaa-e-amaan dekhte rahnaa palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat rakhtaa huun main khanjar pe zabaan dekhte rahnaa aansu mire bachchon ki tarah khuun se khelein kuchh khel nahin ghar kaa ziyaan dekhte rahnaa ik arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf phir qissa-e-aalam hai dhuaan dekhte rahnaa bauchhaar hai tiron ki vo rahvaar akelaa kitnaa hai shitaabi ye samaan dekhte rahnaa duniyaa kisi maqtal mein hai zindon ki gavaahi jaate hain kahaan piir o javaan dekhte rahnaa hogi kisi manjdhaar ke siine pe miri naav dariyaa hai mire saath ravaan dekhte rahnaa taarik ufuq par vo ajab shaan se niklaa 'khurshid' se raushan hai jahaan dekhte rahnaa"
"ek manzar iztiraabi ek manzar se ziyaada dil hai saahil dil safina dil samundar se ziyaada do jahaan ki neamaton ko do badan se zarb de kar ek lamha maangtaa huun banda-parvar se ziyaada ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochtaa huun phuul mein hoti nazaakat kaash patthar se ziyaada hasrat-e-shahr-e-nasibaan kyaa tujhe maalum bhi hai dasht hai aabaad yaani ishq ke ghar se ziyaada chashm-o-lab se pahle ik tishna taalluq chaahtaa huun aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada ek larzida fazaa hai aasmaan ki vusaton mein ik parinda uD rahaa hai apne shah-par se ziyaada bastiyon ke log saare barf hote jaa rahe hain be-rukhi achchhi nahin 'khurshid-akbar' se ziyaada"
"guzar gai hai mujhe reg-zaar karti hui vo ek machhli samundar shikaar karti hui na jaane kitne bhanvar ko rulaa ke aae hai ye meri kashti-e-jaan khud ko paar karti hui vo ek saaat-e-maasum dil ki parvarda mukar gai hai magar e'tibaar karti hui junun ki aakhiri larzida muzmahil si raat jhapak gai hai zaraa intizaar karti hui ye kaisi khvaahish-e-naa-did hai doraahe par sahm gai hai abhi mujh pe vaar karti hui lipaT ke so gai aakhir sham-e-firaaq ke saath shab-e-siyaah sitaare shumaar karti hui safar mein kaisi haraarat qarib thi 'khurshid' utar gai hai mujhe dhaar-daar karti hui"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"