SHAWORDS

main vahm huun ki haqiqat ye haal dekhne ko — Krishna Kumar Toor

"main vahm huun ki haqiqat ye haal dekhne ko giraft hotaa huun apnaa visaal dekhne ko charaagh kartaa huun apnaa har ek azv-e-badan taras gayaa huun gham-e-laa-zavaal dekhne ko ye aadmi hain ki patthar javaab dete nahin chale hain koh-e-nidaa se savaal dekhne ko na sher hain na sataaish ajab zamaana hai kahin pe miltaa nahin ab kamaal dekhne ko main 'tur' aakhiri saaat kaa ek manzar huun vo aa rahaa hai mujhe be-misaal dekhne ko"
Urdu

میں وہم ہوں کہ حقیقت یہ حال دیکھنے کو گرفت ہوتا ہوں اپنا وصال دیکھنے کو چراغ کرتا ہوں اپنا ہر ایک عضو بدن ترس گیا ہوں غم لا زوال دیکھنے کو یہ آدمی ہیں کہ پتھر جواب دیتے نہیں چلے ہیں کوہ ندا سے سوال دیکھنے کو نہ شعر ہیں نہ ستائش عجب زمانہ ہے کہیں پہ ملتا نہیں اب کمال دیکھنے کو میں طورؔ آخری ساعت کا ایک منظر ہوں وہ آ رہا ہے مجھے بے مثال دیکھنے کو

Hindi

मैं वहम हूँ कि हक़ीक़त ये हाल देखने को गिरफ़्त होता हूँ अपना विसाल देखने को चराग़ करता हूँ अपना हर एक अज़्व-ए-बदन तरस गया हूँ ग़म-ए-ला-ज़वाल देखने को ये आदमी हैं कि पत्थर जवाब देते नहीं चले हैं कोह-ए-निदा से सवाल देखने को न शेर हैं न सताइश अजब ज़माना है कहीं पे मिलता नहीं अब कमाल देखने को मैं 'तूर' आख़िरी साअत का एक मंज़र हूँ वो आ रहा है मुझे बे-मिसाल देखने को

maiñ vahm huuñ ki haqīqat ye haal dekhne ko
Krishna Kumar Toor
Krishna Kumar Toor
Krishna Kumar Toor
poet50 quotes

More by Krishna Kumar Toor

View all →
Quote
"ik e'timaad ajab saa yaqin pe rakhtaa huun vo kyaa hai main jise apni jabin pe rakhtaa huun yahi to baat hui jaa rahi hai mere khilaaf kahin pe milti hai ik shai kahin pe rakhtaa huun jo chiiz dekhne ki hai vo baar baar rahe main is tarah kaa tamaasha zamin pe rakhtaa huun ghubaar hoti hui jaa rahi hai ye duniyaa hai haan kaa shaaiba jis ko nahin pe rakhtaa huun kise khabar hai ye kis vaqt kaam aa jaae hai khaak khaak jise aastin pe rakhtaa huun havaa ho yaa ki na ho 'tur' main charaagh-e-ishq huun chaahtaa jahaan rakhnaa vahin pe rakhtaa huun"
Krishna Kumar ToorKrishna Kumar Toor
Quote
"ye dar ye taaq ye chaukhaT ye ghar malaal kaa hai safar mein jitnaa hai zaad-e-safar malaal kaa hai main kaisi saaat-e-bad-bakht mein muqayyad huun duaa khushi ki hai zaahir asar malaal kaa hai ruki hui hai hayaat ik ajab doraahe par idhar hansi kaa ijaara udhar malaal kaa hai sajaae rakkhaa hai ham ko anaa ki suuli par koi agar hai to bas ye hunar malaal kaa hai sambhaal rakkhaa hai ab jis qadar hai sarmaaya ziyaada kuchh nahin bas ek ghar malaal kaa hai ravaan huun main usi jaanib jidhar hai vo basti mire liye to ye saaraa safar malaal kaa hai lagaae rakkheinge siine se us ko ham ai 'tur' hayaat mein koi TukDaa agar malaal kaa hai"
Krishna Kumar ToorKrishna Kumar Toor
Quote
"ek diyaa dahliz pe rakkhaa bhuul gayaa ghar ko lauT ke aane vaalaa bhuul gayaa ye kaisi be-aab zamin kaa saamnaa thaa khud ko qatra qatre ko dariyaa bhuul gayaa main to thaa maujud kitaab ke lafzon mein vo hi shaayad mujh ko paDhnaa bhuul gayaa kis ke jism ki baarish ne sairaab kiyaa kyuun uDnaa mausam kaa parinda bhuul gayaa aakhir ye honaa thaa aakhir yahi huaa duniyaa mujh ko aur main duniyaa bhuul gayaa main bhi huun mansub kisi ke qatl se ab suraj meri chhat pe chamaknaa bhuul gayaa vafaa kaa khoTaa sikka kab tak chaltaa 'tur' achchhaa huaa jo apnaa paraayaa bhuul gayaa"
Krishna Kumar ToorKrishna Kumar Toor
Quote
"bahut kahaa thaa sukhan-varon mein guzar na karnaa bahut kahaa thaa ki baat sunnaa magar na karnaa bahut kahaa thaa ki Dubne kaa hai Dar ziyaada bahut kahaa thaa ki paaniyon kaa safar na karnaa bahut kahaa thaa ki tum akele na rah sakoge bahut kahaa thaa ki ham ko yuun dar-ba-dar na karnaa bahut kahaa thaa vo tum ko pahchaantaa nahin hai bahut kahaa thaa tum us ko apni khabar na karnaa bahut kahaa thaa ki raabton ko daraaz rakhnaa bahut kahaa thaa mohabbatein mukhtasar na karnaa bahut kahaa thaa ki ishq aakhir to ishq Thahraa bahut kahaa thaa kisi ko is ki khabar na karnaa bahut kahaa thaa zamin se rishta na 'tur' TuuTe bahut kahaa thaa falak ko zer-e-asar na karnaa"
Krishna Kumar ToorKrishna Kumar Toor
Quote
"bhalaa kahaan kise mumkin hai ye adaa har baar charaagh rakhtaa hai lau par dam-e-havaa har baar tu apne haathon ki ThanDak se kar mujhe maanus tu meri aankhon pe rakh shoala-e-hinaa har baar kabhi to mere lahu ke nishaan baneinge phuul main gham ke dasht se guzraa barahna-paa har baar ye meri zaat se nisbat hui hai ab kis ko main khud ko dekhtaa huun kyuun judaa judaa har baar kabhi to chamkegaa dil raas aaegi duniyaa jahaan se guzraa huun ye sochtaa huaa har baar bachaa ke rakkhe salaamat na koi jaan apni sunaai deti hai bas ik yahi sadaa har baar vo 'tur' kyuun miri baaton pe ghussa kartaa hai akhartaa kyuun hai use meraa puchhnaa har baar"
Krishna Kumar ToorKrishna Kumar Toor

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb