Quote
"ye dar ye taaq ye chaukhaT ye ghar malaal kaa hai safar mein jitnaa hai zaad-e-safar malaal kaa hai main kaisi saaat-e-bad-bakht mein muqayyad huun duaa khushi ki hai zaahir asar malaal kaa hai ruki hui hai hayaat ik ajab doraahe par idhar hansi kaa ijaara udhar malaal kaa hai sajaae rakkhaa hai ham ko anaa ki suuli par koi agar hai to bas ye hunar malaal kaa hai sambhaal rakkhaa hai ab jis qadar hai sarmaaya ziyaada kuchh nahin bas ek ghar malaal kaa hai ravaan huun main usi jaanib jidhar hai vo basti mire liye to ye saaraa safar malaal kaa hai lagaae rakkheinge siine se us ko ham ai 'tur' hayaat mein koi TukDaa agar malaal kaa hai"
